dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhalehairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
muntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaa.e to jaa.eñphir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñ
kahtā thā kal vo mahram-e-rāz apne se ki aahdard-e-judā.i-e-'asad'-ullāh-ḳhāñ na pūchh
ātish-e-tez judā.ī meñ yakāyak us bindil jalā yuuñ ki tanik jī bhī jalāyā na gayā
Shayaan Hai Mujhe Gham-e-JudaiYe Khak Hai Mehram-e-Judai
tā-kujā zabt-e-mohabbat tā-kujā dard-e-firāqrahm kar mujh par ki terā raaz kahlātā huuñ maiñ
shab-e-firāq jo khole haiñ ham ne zaḳhm-e-jigarye intizār hai kab chāñdnī nikaltī hai
hai vasl hijr ālam-e-tamkīn-o-zabt meñmāshūq-e-shoḳh o āshiq-e-dīvāna chāhiye
hai merī tirī nisbat ruuh aur jasad kī sīkab aap se maiñ tujh ko ai jaan judā jaanā
‘Qum Bi-Iznillah’ Keh Sakte The Jo, Rukhsat HuweKhanqahon Mein Majawar Reh Gye Ya Gorkan!
shab-e-firāq hai aur niind aa.ī jaatī haikuchh is meñ un kī tavajjoh bhī paa.ī jaatī hai
ġham-e-firāq meñ ho 'dāġh' is qadar betābzarā se ranj meñ jaañ aap kī nikaltī hai
har rañg-e-gardish aa.ina ījād-e-dard haiashk-e-sahāb juz ba-vidā-e-ḳhizāñ nahīñ
dekhā ye nāv-nosh ki nīsh-e-firāq sesiina tamām ḳhāna-e-zambūr ho gayā
Khudi Hai Zinda To Darya Hai Be-Karana TeraTere Firaq Mein Muztir Hai Mouj-E-Neel-O-Firat
aql o junūñ meñ sab kī thiiñ rāheñ judā judāhir-phir ke lekin ek hī manzil pe aa ga.e
bekasī-hā-e-shab-e-hijr kī vahshat hai haisaaya ḳhurshīd-e-qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se
dekhā jo maiñ ne yaar to vo 'mīr' hī nahīñtere ġham-e-firāq meñ ranjūr ho gayā
Na Kar Zikr-E-Firaq-O-AshanaiKe Asal-E-Zindagi Hai Khud-Numai
tirī sub.h-e-aish hai kyā balā tujhe ai falak jo ho hauslakabhī kar le aa ke muqābla ġham-e-hijr-e-yār kī shaam se
ham ne to sādgī se kyā jī kā bhī ziyāñdil jo diyā thā so to diyā sar judā diyā
Na Darya Ka Zayan Hai, Ne Guhar KaDil-E-Darya Se Gohar Ki Judai