Jo Badah Kash The Purane, Woh Uthte Jate HainKaheen Se Aab-e-Baqaye Dawam Le Saqi!
Kati Hai Raat To Hangama Gustari Mein TeriSehar Qareeb Hai, Allah Ka Name Le Saqi!
Jooye Surood Afreen Ati Hai Kohsar SePi Ke Sharab-e-Lala Goon Mai Kada-e-Bahar Se
Mast-e-Mai-e-Kharaam Ka Sun To Zara Payam TuZinda Wohi Hai Kaam Kuch Jis Ko Nahin Qarar Se
Jaam-e-Sharab Koh Ke Khum Kade Se Urati HaiPast-o-Buland Kar Ke Tae Khaiton Ko Ja Pilati Hai
Gulshan-e-Dehr Mein Agar Jooye Mai-e-Sukhan Na HoPhool Na Ho, Kali Na Ho, Sabza Na Ho, Chaman Na Ho
Be Lous Mohabbat Ho, Bebak Sadaqat HoSeenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena De
Ae Bu-Ubaidah (R.A.) Rukhsat-e-Paikaar De MujheLabraiz Ho Gya Mere Sabr-o-Sakoon Ka Jaam
Tunak Bakhshi Ko Istaghna Se Pegham-e-Khajalat DeNa Reh Minnat Kash-e-Shabnam, Nigun Jaam-o-Saboo Kar Le
Barg-e-Gul Aaeena Ariz-e-Ziabaye BaharShahid-e-Mai Ke Liye Hujla-e-Jaam Aaeena
Pukhta Tar Hai Gardish-E-Peham Se Jaam-E-ZindagiHai Yehi Ae Be-Khabar Raaz-E-Dawam-E-Zindagi
Tu Isse Pemana’ay Amroz-O-Farda Se Na NaapJavidan, Peham Dawan, Har Dam Jawan Hai Zindagi
Tere Pemanon Ka Hai Ye Ae Mai-e-Maghrib AsarKhanda-Zan Saqi Hai, Sari Anjuman Be-Hosh Hai