Zindagi Ki Rah Mein Chal, Lekin Zara Bach Bach Ke ChalYe Samajh Le Koi Meena Khana Bar-e-Dosh Hai
Uzr-e-Parhaiz Pe Kehta Hai Bigar Kar SaqiHai Tere Dil Mein Wohi Kaswish-e-Anjam Abhi
Abar-e-Neesan! Ye Tunak Bakhsi-e-Shabnam Kab TakMere Kuhsar Ke Lale Hain Tehi Jaam Abhi
Badah Gardan-e-Ajam Woh, Arabi Meri SharabMere Saghir Se Jhijhakte Hain Mai Ashaam Abhi
Mujahidana Hararat Rahi Na Sufi MeinBahana Be-Amali Ka Bani Sharab-e-Alasst
Meri Mushkil, Masti-o-Shor-o-Suroor-o-Dard-o-DaghTeri Mushkil, Mai Se Hai Saghir Ke Mai-e-Saghir Se Hai
Woh Millat Rooh Jis Ki ‘LA’ Se Agay Barh Nahin SaktiYaqeen Jano, Huwa Labraiz Uss Millat Ka Pemana
Meh-o-Sitara, Misal-e-Shararah Yak Do NafasMai-e-Khudi Ka Abad Tak Suroor Rehta Hai
Main Hun Naumeed Tere Saqiyan-e-Samri Fan SeKe Bazm-e-Khawaran Mein Le Ke Aye Satgeen Khali
Gharche Iss Dair-e-Kuhan Ka Hai Ye Dastoor-e-QadeemKe Nahin Mai Kudah-o-Saqi-o-Meena Ko Sabaat
Khudi Ki Mout Se Peer-e-Haram Huwa MajboorKe Baich Khaye Musalman Ka Jama-e-Ahraam!
Nayab Nahin Mataa-e-GuftarSad Anwari-o-Hazar Jami
Safar Uroos-e-Qamar Ka Umaari-e-Shab MeinTulu-e-Mehar-o-Sukoot-e-Sipihr-e-Meenai !
Kamil Wohi Hai Rindi Ke Fan MainMasti Hai Jis Ki Be-Minnat-e-Taak