Rakhta Hai Ab Tak Maikhana-e-SharqWoh Mai Ke Jis Se Roshan Huwa Idraak
Maktab-o-Mai Kudah Juz Dars-e-Naboodan NadhundBoodan Amoz Ke Hum Bash-o-Hum Khawahi Bood
Aya Kahan Se Nala-e-Ne Mein Suroor-e-MaiAsal Uss Ki Ne Nawaz Ka Dil Hai Ke Chob-e-Ne!
Rang-e-Mai Beerun Nasheest Az Basika Meena Tang Bood”If heart of man were vast enough, This mead would have retained no trace
Na Mere Zikr Mein Sufiyon Ka Souz-o-SuroorNa Mera Fikr Hai Pemana-e-Sawab-o-Azab
Sheeshe Ki Soorahi Ho Ke Mitti Ka Suboo HoShamsheer Ki Manind Ho Taizi Mein Teri Mai
Khoon-e-Rag-e-Maamar Ki Garmi Se Hai TameerMaikhana-e-Hafiz Ho Ke Butkhana-e-Behzad
Sila Farang Se Aya Hai Suriya Ke LiyeMai-o-Qimar-o-Hujoom-e-Zanan-e-Bazari !
Jahan-e-Qimaar Nahin, Zan Tunk Labas NahinJahan Haraam Batate Hain Shughal-e-Mai Khwari
Rindan-e-Faransis Ka Maikhana SalamatPur Hai Mai-e-Gulrang Se Har Sheesha Halab Ka
Wohi Sharab, Wohi Haye-o-Hoo Rahe BaqiTareeq-e-Saqi-o-Rasm-e-Kadoo Badal Jaye
Be Juraat-e-Rindana Har Ishq Hai RubahiBazoo Hai Qawi Jis Ka, Woh Ishq Yadullahi