Saqiyan-e-Jameel Jaam BadastPeene Walon Mein Shor-e-Nosha Nosh
Iss Pe Turra Hai Ke Tu Shair Bhi Keh Sakta HaiTeri Meenaye Sukhan Mein Hai Sharab-e-Shiraz
Labraiz Hai Sharab-e-Haqiqat Se Jam-e-HindSub Falsafi Hain Khita-e-Maghrib Ke Raam-e-Hind
Meena Madaam Sourish-e-Qulqul Se Pa Ba GilLekin Mazaj-e-Jaam-e-Kharaam Ashna Khamosh
Dekh Kar Tujh Ko Ufaq Par Hum Lutate The GuharAe Tehi Saghar! Humari Aaj Nadari Bhi Dekh
Soch To Dil Mein, Laqab Saqi Ka Hai Zaiba Tujhe?Anjuman Pyasi Hai Aur Pemana Be-Sehba Tera!
Anjuman Se Woh Purane Shaola Aasham Uth GyeSaqiya! Mehfil Mein Tu Aatish Bajaam Aaya To Kya
Khair, Tu Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga KiseAb Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe
Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Huwi Meena UsseKal Talak Gardish Mein Jis Saqi Ke Paimane Rahe
Fatadgi Hai Teri Ghairat-e-Sujood-e-NiazYour heart forever steeped in the wine of ecstasy,
Talkhabah-e-Ajal Mein Jo Ashiq Ko Mil GyaPiya Na Khizr Ne Mai-e-Umer-e-Daraz
Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana TeraAshk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera
Nasha Pila Ke Girana To Sub Ko Ata HaiMaza To Jab Hai Ke Girton Ko Thaam Le Saqi