maut mujh ko dikhā.ī detī haijab tabī.at ko dekhtā huuñ maiñ
allāh-re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marghilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv
Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, LekinKhudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai!
tumhārī aañkh mire dil se le sabab be-vaj.hhuī hai laḌne ko tayyār dekhte jaao
'ġhālib' mire kalām meñ kyūñkar mazā na hopiitā huuñ dhoke ḳhusrav-e-shīrīñ-suḳhan ke paañv
Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel AshobSanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Makan Ke Liye
guzar gayā vo zamāna kahūñ to kis se kahūñḳhayāl dil ko mire sub.h o shaam kis kā thā
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñmaut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
Kali Ko Dekh Ke Hai Tashna-e-Naseem-e-SeharIssi Mein Hai Mere Dil Ka Tamam Afsana
idhar aa kar bhī fātiha paḌh loaaj zer-e-mazār ham bhī haiñ
aaj vaañ teġh o kafan bāñdhe hue jaatā huuñ maiñuzr mere qatl karne meñ vo ab lāveñge kyā
Farang Mein Koi Din Aur Bhi Thehar JaunMere Junoon Ko Sanbhale Agar Ye Werana
mere aañsū kī us ne kī tārīfḳhuub motī ye kaan se niklā
jī jale zauq-e-fanā kī nā-tamāmī par na kyuuñham nahīñ jalte nafas har chand ātish-bār hai
Had-e-Adraak Se Bahir Hain Batain Ishq-o-Masti KiSamajh Mein Iss Qadar Aya Ke Dil Ki Mout Hai Doori