jī meñ aatā hai ki kuchh aur bhī mauzūñ kiijedard-e-dil ek ġhazal meñ to sunāyā na gayā
Iss Andeshe Se Zabt-E-Aah Main Karta Rahon Kab TakK Munaa Zade Na Le Jaen Teri Qismat Ki Changari
yā rab hujūm-e-dard ko de aur vus.ateñdāman to kyā abhī mirī āñkheñ bhī nam nahīñ
'zafar' se kahtā hai majnūñ kahīñ dard-e-dil mahzūñjo ġham se fursat ab ik dam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
baazū dikhā.e tum ne lagā kar hazār haathpuure paḌe to vo bhī bahut imtihāñ ke haiñ
nikalte haiñ kar ke ġhol-bandī ba-nām-e-tahzīb o dard-mandīye kah ke lete haiñ sab se chande hameñ jo tum do tumheñ ḳhudā de
pahle jigar par aah kā naam na thā nishāñ na thāāḳhir-e-kār ye huā aah to hai jigar nahīñ
nāla-o-āh kī tafsīl na pūchho mujh suuñdaftar-e-dard basā ishq ke dīvān meñ aa
jāntā duniyā ko hai ik khel tūkhel qudrat ke tujhe dikhlā.eñ kyā
naam kā mere hai jo dukh ki kisī ko na milākaam meñ mere hai jo fitna ki barpā na huā
yuuñ kānoñ-kān gul ne na jaanā chaman meñ aahsar ko paTak ke ham pas-e-dīvār mar ga.e
Utha Main Madrasa-o-Khanqah Se GhamnaakNa Zindagi, Na Mohabbat, Na Maarifat, Na Nigah!
marg-e-'jigar' pe kyuuñ tirī āñkheñ haiñ ashk-rezik sāneha sahī magar itnā aham nahīñ
na daa.im ġham hai ne ishrat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haitabaddul yaañ hai har saa.at kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
na ronā hai tarīqe kā na hañsnā hai salīqe kāpareshānī meñ koī kaam jī se ho nahīñ saktā
kahāñ kā sharqī kahāñ kā ġharbī tamām dukh sukh hai ye masāvīyahāñ bhī ik bā-murād ḳhush hai vahāñ bhī ik ġham se jal rahā hai
shabnam o gul ko dekh kar vajd na aa.e kis tarahḳhanda be-sabab nahīñ girya be-asar nahīñ
dard-mandāñ ko ba-juz dard nahīñ said murādai shah-e-malk-e-junūñ ġham ke bayābān meñ aa
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukrshakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
qatra meñ dajla dikhā.ī na de aur juzv meñ kulkhel laḌkoñ kā huā dīda-e-bīnā na huā
kyā tīr-e-sitam us ke siine meñ bhī TuuTe thejis zaḳhm ko chīrūñ huuñ paikān nikalte haiñ
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye ChamanNa Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiyan Ke Liye
ye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā haijo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā hai
kisī vaqt ashk haiñ jaarī kisī vaqt aah aur zaarīġharaz hāl-e-ġham-e-furqat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
jāñ-bar bhī ho ga.e haiñ bahut mujh se nīm-jāñkyā ġham hai ai tabīb jo puurī vahāñ kī hai
aflāk to is ahd meñ sābit hue mādūmab kyā kahūñ jaatī hai mirī aah kahāñ tak
tere faqīr kā ġhurūr tājvaroñ se hai sivātarf-e-kulah meñ de shikan us ko ye dard-e-sar nahīñ
bas ki mujh haal suuñ ham-sar hai pareshānī meñdard kahtī hai mirā zulf tire kaan meñ aa