pechīda masā.il ke liye jaate haiñ englandzulfoñ meñ ulajh aate haiñ shāmat hai to ye hai
dil meñ haiñ laakh tarah ke hiile bhare huephir mashvara ko ā.īna o shāna saath hai
vaqt hai gar bulbul-e-miskīñ zuleḳhā.i kareyūsuf-e-gul jalva-farmā hai ba-bāzār-e-chaman
zamīr-e-pāk o nigāh-e-buland o masti-e-shauqna māl-o-daulat-e-qārūñ na fikr-e-aflātūñ
ye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāremuñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanā
daftar hai ek māni-e-be-lafz-o-saut kāsaada sī jo nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
kholte haiñ jab apnī zulfāñ kuuñsub.h-e-āshiq kuuñ shaam karte haiñ
hairān huuñ ki us ke muqābil ho ā.īnajo pur-ġhurūr khiñchtā hai māh-e-mubīñ se duur
chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale parchaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā
phañsāyā to āñkhoñ ne dām-e-balā meñmagar ishq meñ ho gayā naam dil kā
baġhal-gīr aarzū se haiñ murādeñ aarzū mujh seyahāñ is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kyā ho
jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā haijauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā
usī ke faiz se merī nigāh hai raushanusī ke faiz se mere subū meñ hai jehūñ
thā naaz bahut ham ko dānist par apnī bhīāḳhir vo burā niklā ham jis ko bhalā jaanā
tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq haiye jurm gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
adā o naaz suuñ aatā hai vo raushan-jabīñ ghar suuñki jyuuñ mashriq suuñ nikle āftāb āhista āhista
manzūr ho jo diid tujhe dil kī aañkh sepahuñche tirī nazar nigah-e-dūr-bīñ se duur
vaqt-e-ḳhirām-e-nāz dikhā do judā judāye chaal hashr kī ye ravish āsmāñ kī hai
ye bāñkī adā.eñ ye tirchhī nigāheñyahī le ga.iiñ sabr-o-ārām dil kā
muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñye sach hai nāznīñ ho ḳhūb-sūrat ho magar kyā ho
hai ḳhayāl-e-husn meñ husn-e-amal kā sā ḳhayālḳhuld kā ik dar hai merī gor ke andar khulā
ye muāmle haiñ nāzuk jo tirī razā ho tū karki mujhe to ḳhush na aayā ye tarīq-e-ḳhānqāhī
Dhab dekhne kā īdhar aisā hī tumhārā thājaate to ho par ham se Tuk aañkh milā jaanā
uThtī nahīñ hai aañkh magar us ke rū-ba-rūnādīda ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
pī ke bairāg kī udāsī suuñdil pe mere sadā udāsī hai
mar ga.e ai vaah un kī nāz-bardārī meñ hamdil ke hāthoñ se paḌe kaisī giraftārī meñ ham
us ke jalve ko ġharaz kaun-o-makāñ se kyā thādaad lene ke liye husn-e-ḳhudā-dād aayā
isī liye rah ga.ī haiñ āñkheñ ki mere miTne kā rañg dekheñsunūñ vo bāteñ jo hosh uḌā.eñ isī liye haiñ ye kaan baaqī