is adā se vo jafā karte haiñkoī jaane ki vafā karte haiñ
nazar bhī aa.e jo zulf-e-pechāñ to samjheñ ye koī policy haielectric light us ko samjheñ jo barq-vash koī koī de
ai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh kotahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegā
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chamanjānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chaman
nigāh-e-ishq o mastī meñ vahī avval vahī āḳhirvahī qur.āñ vahī furqāñ vahī yāsīñ vahī taahā
apnī to jahāñ aañkh laḌī phir vahīñ dekhoā.īne ko lapkā hai pareshāñ-nazarī kā
duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñsarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñ
na hove kohkan kyuuñ aa ke āshiqjo vo shīrīñ-adā gulgūñ-qabā hai
ḳhāksārī kyā ajab khove agar dil kā ġhubārḳhaak se dekho ki ā.īna safā kyūñkar huā
husn kā haq nahīñ rahtā baaqīhar adā meñ vo adā karte haiñ
diloñ meñ un ke hai nūr-e-īmāñ qavī nahīñ hai magar nigahbāñhavā-e-mantiq adā-e-tiflī ye sham.a aisā na ho bujhā de
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tū aañkh khol karhashr kī jo ḳhabar na de aisī koī sahar nahīñ
terī ārā.ish kā istiqbāl kartī hai bahārjauhar-e-ā.īna hai yaañ naqsh-e-ehzār-e-chaman
ye butān-e-asr-e-hāzir ki bane haiñ madrase meñna adā-e-kāfirāna na tarāsh-e-āzrāna
le saañs bhī āhista ki nāzuk hai bahut kaamāfāq kī is kārgah-e-shīshagarī kā
aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñzarroñ ko mehr-o-māh kiye jā rahā huuñ maiñ
dekh ḳhūbāñ kuuñ vaqt milne kekis adā suuñ salām karte haiñ
jin ko yaktā.ī kā da.avā thā vo misl-e-ā.īnaun ko hairat hai ki paidā dūsrā kyūñkar huā
jalve mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ ke haiñmujh se kahāñ chhupeñge vo aise kahāñ ke haiñ
ye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlūyahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā hai
surma de kar dil ke lene kā hai qasdaañkh to kar chaar kyuuñ kaisī kahī
bas ki paa.ī yaar kī rañgīñ-adā.ī se shikasthai kulāh-e-nāz-e-gul bar tāq-e-dīvār-e-chaman
garche hai dil-kushā bahut husn-e-farañg kī bahārtā.erak-e-buland-bām dāna-o-dām se guzar
bas ai girya āñkheñ tirī kyā nahīñ haiñkahāñ tak jahāñ ko Dubotā rahegā
mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chaar chāñdḳhud husn ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
kam-nigāhī soñ dekhte haiñ valekaam apnā tamām karte haiñ
parvāna vasl-e-sham.a pe detā hai apnī jaañkyūñkar rahe dil us ke ruḳh-e-ātishīñ se duur
pursish kahoge kyā vahāñ jab yaañ ye sūrat haiadā ik harf-e-vāda nāzukī se ho nahīñ saktā