agar hāthoñ se us shīrīñ-adā ke zab.h hoñge hamto sharbat ke se ghūñT āb-e-dam-e-ḳhanjar meñ āveñge
un āñkhoñ ke qurbān jā.ūñ jinhoñ nehazāroñ hijāboñ meñ parvāna dekhā
dil dhaḌaktā hai mirā luuñ bosa-e-ruḳh yā na luuñniiñd meñ us ne dulā.ī muñh se sarkā.ī to hai
ḳhabar dī uTh ke qayāmat ne us ke aane kīḳhudā hī ḳhair kare ruḳh hai anjuman kī taraf
kaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāvekoī batāo ki vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham kyā hai
bazm-e-hastī apnī ārā.ish pe tū nāzāñ na hotū to ik tasvīr hai mahfil kī aur mahfil huuñ maiñ
gah lohū Tapaktā hai gah laḳht-e-dil āñkhoñ seyā TukḌe jigar hī ke har aan nikalte haiñ
haañ ye sarshāriyāñ javānī kīaañkh jhapkī hī thī ki raat ga.ī
sajan ke husn kuuñ Tuk fikr suuñ dekhki ye ā.īna-e-ma.anī-numā hai
dil tirā faulād ho to aap ho ā.īna-vārsaaf yak-bārī sune merī agar rūdād tū
na himmat na qismat na dil hai na āñkheñna DhūñDā na paayā na samjhā na dekhā
mirī vafā meñ hai kyā tazalzul mirī itā.at meñ kyā kamī haiye kyuuñ nigāheñ phirī haiñ mujh se mizāj meñ kyuuñ ye barhamī hai
vo apne ruḳh kī sabāhat ko aap dekhte haiñjhuke hue gul-e-nargis haiñ yāsman kī taraf
balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-dīvārnigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-dīvār
ġhulāmī kyā hai zauq-e-husn-o-zebā.ī se mahrūmījise zebā kaheñ āzād bande hai vahī zebā
un ā.īna-rūyoñ ke kyā 'mīr' bhī āshiq haiñjab ghar se nikalte haiñ hairān nikalte haiñ
dil ke muāmlāt meñ nāseh shikast kyāsau baar husn par bhī ye ilzām aa gayā
ye ḳhat hai jauhar-e-ā.īna-rāzise mushk-e-ḳhutan kahnā bajā hai
kyā kahūñ dil mā.il-e-zulf-e-dotā kyūñkar huāye bhalā chañgā giraftār-e-balā kyūñkar huā
vo thā jalva-ārā magar tū ne muusāna dekhā na dekhā na dekhā na dekhā
vahī hai fazl-e-ḳhudā se ab tak taraqqi-e-kār-e-husn o ulfatna vo haiñ mashq-e-sitam meñ qāsir na ḳhūn-e-dil kī yahāñ kamī hai
ye mai-kashoñ kī adā abr-e-tar bhī siikh ga.ekinār-e-jū se jo uTThe chale chaman kī taraf
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalvaki mast hai tire kūche meñ har dar-o-dīvār
bharosā kar nahīñ sakte ġhulāmoñ kī basīrat parki duniyā meñ faqat mardān-e-hur kī aañkh hai biinā
sharminda tire ruḳh se hai ruḳhsār parī kāchaltā nahīñ kuchh aage tire kabk-e-darī kā
dil ko na pūchh mārka-e-husn-o-ishq meñkyā jāniye ġharīb kahāñ kaam aa gayā
huā ma.alūm tujh zulfāñ suuñ ai shoḳhki shāh-e-husn par zill-e-humā hai
jin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yārun kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huā