zulf kuuñ vā kar ki shāh-e-ishq kuuñsāya-e-bāl-e-humā darkār hai
dī tū ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishqhoñToñ ko jo ḳhushkī mirī āñkhoñ ko tarī dī
taġhāful meñ shoḳhī nirālī adā thīġhazab thā vo muñh pher kar dekh lenā
har gaam pe chand āñhkeñ nigarāñ har moḌ pe ik licence-talabus park meñ āḳhir ai 'akbar' maiñ ne to Tahalnā chhoḌ diyā
gulshan-e-firdaus par kyā naaz hai rizvāñ tujhepūchh us ke dil se jo hai rutba-dān-e-lucknow
maiñ huuñ aur hairat-e-jāved magar zauq-e-ḳhayālba-fusūn-e-nigah-e-nāz satātā hai mujhe
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kāna ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
kholte hī āñkheñ phir yaañ mūñdnī ham ko paḌīñdiid kyā koī kare vo kis qadar mohlat huī
maiñ us kā ā.īna huuñ vo hai merā ā.īnamerī nazar se us kī nazar kāmyāb hai
fauj-e-ushshāq dekh har jānibnāznīñ sāhib-e-dimāġh huā
kāfir tire saudā-e-sar-e-zulf ne mujh kokyā kyā na pareshānī o āshufta-sarī dī
na ho nāzuk itnā bhī mashshāta koīdahan dekh lenā kamar dekh lenā
vo apne husn se vāqif maiñ apnī aql se sairunhoñ ne hosh sambhālā mujhe junūn huā
phirī huī mirī āñkheñ haiñ teġh-zan kī tarafchalā hai chhoḌ ke bismil mujhe hiran kī taraf
hairat-e-fikr-e-suḳhan sāz-e-salāmat hai 'asad'dil pas-e-zānū-e-ā.īna biThātā hai mujhe
husn-e-be-parvā ko apnī be-naqābī ke liyehoñ agar shahroñ se ban pyāre to shahr achchhe ki ban
ham na kahte the ki naqsh us kā nahīñ naqqāsh sahlchāñd saarā lag gayā tab nīm-ruḳh sūrat huī
zāhid ne kuchh is andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñmai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
baaqī rahegā jaur-o-sitam roz-e-hashr lagtujh zulf kī jafā meñ nipaT imtidād hai
dil de ke kiyā ham ne tirī zulf kā saudāik aap balā apne liye mol ḳharīdī
in āñkhoñ ne kyā kyā tamāshā na dekhāhaqīqat meñ jo dekhnā thā na dekhā
nigāh-e-garm christmas meñ bhī rahī ham parhamāre haq meñ december bhī māh-e-june huā
banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhānana dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman kī taraf
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hairahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
maiñ jabhī tak thā ki terī jalva-pairā.ī na thījo numūd-e-haq se miT jaatā hai vo bātil huuñ maiñ
kyā jāneñ ve murġhān-e-giraftār-e-chaman kojin tak ki ba-sad-nāz nasīm-e-sahar aave
paḌ gayā husn-e-ruḳh-e-yār kā partav jis parḳhaak meñ mil ke bhī is dil kī safā.ī na ga.ī
kamar us dilrubā kī dilrubā hainigah us ḳhush-adā kī ḳhush-adā hai