ai husn-e-yār sharm ye kyā inqalāb haitujh se ziyāda dard tirā kāmyāb hai
jā ke pahuñchī hai hadd-e-zulmat kuuñbas-ki tujh zulf meñ darāzī hai
hai mire shoḳh kī bālīda vo kāfir āñkheñjis ke ham chashm zarā nargis-e-bādām na ho
jalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ ham
hayā se sar jhukā lenā adā se muskurā denāhasīnoñ ko bhī kitnā sahl hai bijlī girā denā
naaz baḌhtā gayā baḌhte ga.e juuñ juuñ gesūbalki lene lage ab zulf o kamar donoñ saath
ham-zānū-e-ta.ammul o ham-jalva-gāh-e-gulā.īna-band ḳhalvat-o-mahfil hai aa.ina
bharī bazm meñ apne āshiq ko taaḌātirī aañkh mastī meñ hushyār kyā thī
ḳharāb rahte the masjid ke aage mai-ḳhānenigāh-e-mast ne saaqī kī intiqām liyā
ai husn apnī hausla-afzā.iyāñ to dekhmaanā ki chashm-e-shauq bahut be-hijāb hai
tajrabe suuñ huā mujhe zāhirnaaz mafhūm be-niyāzī hai
sub.h hotī hī nahīñ aur nahīñ kaTtī raatruḳh pe khole vo kahīñ zulf-e-siyāh-fām na ho
ye kis ne jalva hamāre sar-e-mazār kiyāki dil se shor uThā haa.e be-qarār kiyā
kyā kahūñ be-ḳhud huā maiñ kis nigāh-e-mast seaql ko bhī merī hastī kā adab karnā paḌā
ġhāfil o hoshyār vo timsāl-e-yak-ā.īna haiñvarta-e-hairat meñ nādāñ aap haiñ daanā haiñ aap
ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalva-rezī haivagarna ḳhāna-e-ā.īna kī fazā ma.alūm
vahī jahāñ hai tirā jis ko tū kare paidāye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai
nāzukī us ke lab kī kyā kahiyepañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
maiñ ishq-e-be-niyāz huuñ tum husn-e-be-panāhmerā javāb hai na tumhārā javāb hai
har sanam tasḳhīr-e-dil kyūñkar sakedilrubā.ī kuuñ adā darkār hai
ai 'zafar' charḳh pe ḳhurshīd jo yuuñ kāñpe haijalva-gar aaj kahīñ yaar lab-e-bām na ho
banegā mehr-e-qayāmat bhī ek ḳhāl-e-siyāhjo chehra 'dāġh'-e-siyah-rū ne āshkār kiyā
jab yaas huī to aahoñ ne siine se nikalnā chhoḌ diyāab ḳhushk-mizāj āñhkeñ bhī huiiñ dil ne bhī machalnā chhoḌ diyā
āñkheñ dikhā rahī hai din se mujhe shab-e-ġhamāsār tīrgī ke haiñ din kī raushnī meñ
baaġh tujh bin gul-e-nargis se Darātā hai mujhechāhūñ gar sair-e-chaman aañkh dikhātā hai mujhe
nigāh-e-faqr meñ shān-e-sikandarī kyā haiḳhirāj kī jo gadā ho vo qaisarī kyā hai
'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñsaarī mastī sharāb kī sī hai
merī nigāh-e-shauq bhī kuchh kam nahīñ magarphir bhī tirā shabāb tirā hī shabāb hai