marg-e-'jigar' pe kyuuñ tirī āñkheñ haiñ ashk-rezik sāneha sahī magar itnā aham nahīñ
mushtāq haiñ ushshāq tirī bāñkī adā kezaḳhmī haiñ mohibbāñ tirī shamshīr-e-jafā ke
ka.ī roz meñ aaj vo mehr-liqā huā mere jo sāmne jalva-numāmujhe sabr o qarār zarā na rahā use pās-e-hijāb-o-hayā na rahā
bale chitvan tirī ġhazab rī nigāhkyā kareñge ye naaz kyā jāneñ
ġharīb-ḳhāne kī ye udāsī ye nā-durustī nahīñ qadīmīchahal pahal bhī kabhī yahāñ thī kabhī ye ghar bhī sañvar chukā hai
rakhte ho tum qadam mirī āñkhoñ se kyuuñ dareġhrutbe meñ mahr-o-māh se kam-tar nahīñ huuñ maiñ
Hoor-o-Farishta Hain Aseer Mere Takhiyulat MeinMeri Nigah Se Khalal Teri Tajaliat Mein
chāragarī bīmāri-e-dil kī rasm-e-shahr-e-husn nahīñvarna dilbar-e-nādāñ bhī is dard kā chāra jaane hai
ye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā haijo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā hai
larzāñ hai tire dast age panja-e-ḳhurshīdtujh husn age maat malā.ek haiñ samā ke
lage yuuñ to hazāroñ hī tīr-e-sitam ki taḌapte rahe paḌe ḳhaak pe hamvale naaz o karishma kī teġh-e-do-dam lagī aisī ki tasma lagā na rahā
pahle to sunā karte the āshiq kī musībatab aañkh se vo aaTh pahar dekh rahe haiñ
unheñ nigāh hai apne jamāl hī kī tarafnazar uThā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
na huī ham se raqam hairat-e-ḳhatt-e-ruḳh-e-yārsafha-e.ā.ina jaulāñ-gah-e-tūtī na huā
Gah Meri Nigah-e-Taiz Cheer Gyi Dil-e-WujoodGah Uljah Ke Reh Gyi Meri Touwahamaat Mein
thā musta.ār husn se us ke jo nuur thāḳhurshīd meñ bhī us hī kā zarra zuhūr thā
vo aur vafā-dushman māneñge na maanā haisab dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahānā hai
tujh zulf ke halqe meñ hai dil be-sar o be-pāTuk mehr karo haal upar be-sar-o-pā ke
jis dam 'zafar' ne paḌh ke ġhazal haath se rakhīāñkhoñ pe rakh har ek suḳhan-sanj le chalā
tum ā.īna hī na har baar dekhte jaaomirī taraf bhī to sarkār dekhte jaao
tumhārā saaya bhī jo log dekh lete haiñvo aañkh uThā ke nahīñ dekhte parī kī taraf
kam nahīñ nāzish-e-hamnāmi-e-chashm-e-ḳhūbāñterā bīmār burā kyā hai gar achchhā na huā
Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab MeinYa Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar
ahd-e-javānī ro ro kaaTā piirī meñ liiñ āñkheñ muuñdya.anī raat bahut the jaage sub.h huī ārām kiyā
kyā husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā haiham ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamānā hai
husn ke ḳhizr ne kiyā labrezāb-e-haivāñ suuñ jaam tujh lab kā