jiinā mirā to tujh ko ġhanīmat hai nā-samajhkhīñgā kaun phir ye tire naaz mere ba.ad
ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhedard baḳhshā hai agar tū ne bajā.e-dil mujhe
bulbul-e-shīrāz kuuñ kartā huuñ yaadhusn kuuñ tere gulistāñ buujh kar
na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñbahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānā
ġhazab hai 'dāġh' ke dil se tumhārā dil nahīñ miltātumhārā chāñd sā chehra mah-e-kāmil se miltā hai
tirī zulfoñ meñ dil uljhā huā haibalā ke pech meñ aayā huā hai
chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz haisurma goyā mauj-e-dūd-e-shola-e-āvāz hai
hasrat hai is ke dekhne kī dil meñ be-qayāsaġhlab ki merī āñkheñ raheñ baaz mere ba.ad
maiñ azal se sub.h-e-mahshar tak farozāñ hī rahāhusn samjhā thā charāġh-e-kushta-e-mahfil mujhe
zulf terī kyuuñ na khaa.e pech-o-tābhaal mujh dil kā pareshāñ buujh kar
na thī haal kī jab hameñ ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunarpaḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
tirī aañkh phirte hī kaisā phirā haimirī raah par āsmāñ aate aate
huī hai ishq hī se husn kī qadrhamīñ se aap kā shohrā huā hai
hai sarīr-e-ḳhāma rezish-hā-e-istiqbāl-e-nāznaama ḳhud paiġhām ko bāl-o-par-e-parvāz hai
tumhārī tahzīb apne ḳhanjar se aap hī ḳhud-kushī karegījo shāḳh-e-nāzuk pe āshiyāna banegā nā-pā.edār hogā
muñh takā hī kare hai jis tis kāhairatī hai ye ā.īna kis kā
yā rab hujūm-e-dard ko de aur vus.ateñdāman to kyā abhī mirī āñkheñ bhī nam nahīñ
kyūñke hāsil ho muj ko jam.iyyatzulf terī qarār khotī hai
tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazātirī zulf ke dhyān meñ kaun sī shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā
saaz ye kīna-sāz kyā jāneñnaaz vaale niyāz kyā jāneñ
pareshāñ rahte ho din raat 'akbar'ye kis kī zulf kā saudā huā hai
sharm hai tarz-e-talāsh-e-intiḳhāb-e-yak-nigāhiztirāb-e-chashm barpā doḳhta-ġhammāz hai
jo ek thā ai nigāh tū ne hazār kar ke hameñ dikhāyāyahī agar kaifiyat hai terī to phir kise e'tibār hogā
daaġh āñkhoñ se khil rahe haiñ sabhaath dasta huā hai nargis kā