ye husn o ishq hī kā kaam hai shubah kareñ kis parmizāj un kā nahīñ miltā hamārā dil nahīñ miltā
nāla-o-āh kī tafsīl na pūchho mujh suuñdaftar-e-dard basā ishq ke dīvān meñ aa
dil meñ dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhā hai gharpar use ālūda-e-hirs-o-havā paate haiñ ham
kohkan kyā pahāḌ kāTegāparde meñ zor-āzmā hai ishq
yakbār imtihān-e-havas bhī zarūr haiai josh-e-ishq bāda-e-mard-āzmā mujhe
ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liijeik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai
ishq ke aate hī muñh par mire phūlī hai basantho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā
rāheñ haiñ do majāz o haqīqat hai jin kā naamraste nahīñ haiñ ishq kī manzil ke chaar pāñch
huī hai ishq hī se husn kī qadrhamīñ se aap kā shohrā huā hai
panja-e-ishq ne betāb kiyā jab suuñ mujhechāk-e-dil tab suuñ basā chāk-e-garebān meñ aa
chashm-e-bad-dūr bahut phirte haiñ aġhyār ke saathġhairat-e-ishq se ab tak vo ḳhabar-dār nahīñ
ishq hai ishq karne vāloñ kokaisā kaisā baham kiyā hai ishq
hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aurkarte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
ye husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnājiine kī tamannā hai marne kā zamānā hai
ifshā-e-rāz-e-ishq meñ go zillateñ huiiñlekin use jatā to diyā jaan to gayā
nashsha-e-ishq kā gar zarf diyā thā mujh koumr kā tañg na paimāna banāyā hotā
hameñ laakh zamāna lubhā.e to kyā na.e rañg jo charḳh dikhā.e to kyāye muhāl hai ahl-e-vafā ke liye ġham-e-millat o ulfat-e-dīñ na rahe
husn thā parda-e-tajrīd meñ sab suuñ āzādtālib-e-ishq huā sūrat-e-insān meñ aa
kaun maqsad ko ishq bin pahuñchāaarzū ishq mudda.ā hai ishq
hai vasl hijr ālam-e-tamkīn-o-zabt meñmāshūq-e-shoḳh o āshiq-e-dīvāna chāhiye
ḳhudā ke āshiq to haiñ hazāroñ banoñ meñ phirte haiñ maare maaremaiñ us kā banda banūñgā jis ko ḳhudā ke bandoñ se pyaar hogā
ashkoñ ke tabassum meñ aahoñ ke tarannum meñma.asūm mohabbat kā ma.asūm fasānā hai
ka.aba o dair meñ yā chashm-o-dil-e-āshiq meñinhīñ do-chār gharoñ meñ hai Thikānā terā
hāthoñ se hameñ ishq ke din raat nahīñ chainfariyād o fuġhāñ din ko hai shab nāra-zanī hai
'mīr' marnā paḌe hai ḳhūbāñ parishq mat kar ki bad balā hai ishq
āshiq naqāb-e-jalva-e-jānāna chāhiyefānūs-e-sham.a ko par-e-parvāna chāhiye