khīñch le avval hī se dil kī inān-e-iḳhtiyārtū ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyā
pas-e-marg un par khulā hāl-e-ulfatga.ī le ke ruuh apnī paiġhām dil kā
kiyā tujh ishq ne aalam kuuñ majnūñmujhe tujh rashk-e-lailā kī qasam hai
bahut chain se din guzarte haiñ 'hālī'koī fitna barpā huā chāhtā hai
aur tadbīr ko nahīñ kuchh daḳhlishq ke dard kī davā hai ishq
ḳhat likheñge garche matlab kuchh na hoham to āshiq haiñ tumhāre naam ke
mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjheunheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna
āġhāz-e-mohabbat hai aanā hai na jaanā haiashkoñ kī hukūmat hai aahoñ kā zamānā hai
mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktāmirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā
uryāni-e-tan hai ye ba-az-ḳhil.at-e-shāhīham ko ye tire ishq meñ sāmān hai maujūd
jis hasīñ se huī ulfat vahī ma.ashūq apnāishq kis chiiz ko kahte haiñ tabī.at kaisī
ai shoḳh tujh nayan meñ dekhā nigāh kar karāshiq ke mārne kā andāz hai sarāpā
ishq udhar aql idhar dhun meñ chale haiñ terīrasta ab dekhiye donoñ meñ kaThin kis kā hai
kyā Dubāyā muhīt meñ ġham keham ne jaanā thā āshnā hai ishq
ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyāvarna ham bhī aadmī the kaam ke
ajab maza hai mujhe lazzat-e-ḳhudī de karvo chāhte haiñ ki maiñ apne aap meñ na rahūñ
ham dard-ba-dil nālāñ vo dast-ba-dil hairāñai ishq to kyā zālim terā hī zamānā hai
mazā jo iztirāb-e-shauq se āshiq ko hai hāsilvo taslīm o razā o bandagī se ho nahīñ saktā
har baat pe ham se vo jo 'zafar' kartā hai lagāvaT muddat seaur us kī chāhat rakhte haiñ ham aaj talak phir vaisī hī
tarīq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltāga.e farhād o majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltā
vo sanam jab suuñ basā dīda-e-hairān meñ aaātish-e-ishq paḌī aql ke sāmān meñ aa
hai vasl to taqdīr ke haath ai shah-e-ḳhūbāñyaañ haiñ to faqat terī mohabbat ke haiñ pyāse
ishq se jā nahīñ koī ḳhālīdil se le arsh tak bharā hai ishq
shām-e-ġham meñ soz-e-ishq-e-ātish-e-ruḳhsār separ-fashān-e-soḳhtan haiñ sūrat-e-parvāna ham
ai ishq-e-junūñ-pesha haañ ishq-e-junūñ-peshaaaj ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai
taqdīr se ye pūchh rahā huuñ ki ishq meñtadbīr koī bhī sitam-e-nā-gahāñ kī hai
tufta-jānoñ kā ilaaj ai ahl-e-dānish aur haiishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai