Ruhela Kis Qadar Zalim, Jafa Joo, Keena Parwar ThaNikalain Shah-e-Taimoori Ki Ankhain Nauk-e-Khanjar Se
tujh ko bad-ahd o bevafā kahiyeaise jhūTe ko aur kyā kahiye
Hayat Shaola Mazaj-o-Ghayoor-o-Shor AngaizSarisht Iss Ki Hai Muskhil-Kashi, Jafa-Talbi
hosh jaate rahe raqīboñ ke'dāġh' ko aur bā-vafā kahiye
Le Aya Apne Sath Woh Mard-e-Wafa SarishtHar Cheez, Jis Se Chashm-e-Jahan Mein Ho Aetibar
nahīñ hai jins-e-vafā kī tumheñ jo qadr na hobaneñge kitne ḳharīdār dekhte jaao
falak ko dekh ke kartā huuñ us ko yaad 'asad'jafā meñ us kī hai andāz kār-farmā kā
Gila-e-Jafaye Wafa Nama Ke Haram Ko Ahl-e-Haram Se HaiKisi Butkude Mein Byan Krun To Kahe Sanam Bhi ‘Hari Hari’
vafā kareñge nibāheñge baat māneñgetumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis kā thā
karte ho shikva kis kā tum aur bevafā.īsar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī
Agar Mulk Hathon Se Jata Hai, JayeTu Ahkam-e-Haq Se Na Kar Be-Wafai
vo kaun thā ki tumheñ jis ne bevafā jaanāḳhayāl-e-ḳhām ye saudā-e-ḳhām kis kā thā
bedād-e-vafā dekh ki jaatī rahī āḳhirhar-chand mirī jaan ko thā rabt laboñ se
Mera Saaz Agarcha Sitam Raseeda-e-Zakhama Haye Ajam RahaWoh Shaheed-e-Zauq Wafa Hun Mein Ke Nawa Meri Arabi Rahi
har ik se kahte haiñ kyā 'dāġh' bevafā niklāye pūchhe un se koī vo ġhulām kis kā thā
hai kis qadar halāk-e-fareb-e-vafā-e-gulbulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
ho chukā qat.a ta.alluq to jafā.eñ kyuuñ hoñjin ko matlab nahīñ rahtā vo satāte bhī nahīñ
ham par jafā se tark-e-vafā kā gumāñ nahīñik chheḌ hai vagarna murād imtihāñ nahīñ