jab milī aañkh hosh kho baiThekitne hāzir-javāb haiñ ham log
un ke ik jāñ-nisār ham bhī haiñhaiñ jahāñ sau hazār ham bhī haiñ
na vo jaam rahe na vo mast rahe na fidā.i-e-ahd-e-alast rahevo tarīqa-e-kār-e-jahāñ na rahā vo mashāġhil-e-raunaq-e-dīñ na rahe
man kī duniyā meñ na paayā maiñ ne afrañgī kā raajman kī duniyā meñ na dekhe maiñ ne shaiḳh o barhaman
jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogākuredte ho jo ab raakh justujū kyā hai
ham se pūchho 'jigar' kī sar-mastīmahram-e-āñ-janāb haiñ ham log
dekhte hī mujhe mahfil meñ ye irshād huākaun baiThā hai use log uThāte bhī nahīñ
vahī sūrateñ rah ga.iiñ pesh-e-nazar jo zamāne ko phereñ idhar se udharmagar aise jamāl-e-jahāñ-ārā jo the raunaq-e-rū-e-zamīñ na rahe
bharosā kar nahīñ sakte ġhulāmoñ kī basīrat parki duniyā meñ faqat mardān-e-hur kī aañkh hai biinā
na pūchh vus.at-e-mai-ḳhāna-e-junūñ 'ġhālib'jahāñ ye kāsa-e-gardūñ hai ek ḳhāk-andāz
kār-e-zamāna jitnā jitnābantā jaa.e bigaḌtā jaa.e
vo zamāna nazar nahīñ aatākuchh Thikānā nazar nahīñ aatā
ġham o rañj meñ 'akbar' agar hai ghirā to samajh le ki rañj ko bhī hai fanākisī shai ko nahīñ hai jahāñ meñ baqā vo ziyāda malūl o hazīñ na rahe
vahī hai sāhib-e-imroz jis ne apnī himmat sezamāne ke samundar se nikālā gauhar-e-fardā
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmīphir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
nigāhoñ se chhup kar kahāñ jā.iyegājahāñ jā.iyegā hameñ pā.iyegā
ik zamāna mirī nazar meñ rahāik zamāna nazar nahīñ aatā
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñabhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
jo tūfānoñ meñ palte jā rahe haiñvahī duniyā badalte jā rahe haiñ