tū hai dariyā-e-husn-o-mahbūbīshakl-e-mauj-o-habāb haiñ ham log
dī bādshahī haq ne tujhe husn-nagar kīyū kishvar-e-īrāñ meñ sulaimāñ suuñ kahūñgā
naaz o adā o ġhamza nigah panja-e-mizhamāreñ haiñ ek dil ko ye pil pil ke chaar pāñch
sanam-kade meñ bhī hai husn ik ḳhudā.ī kāki jo nikaltī hai sūrat parī nikaltī hai
dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.īdonoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
Ye Hooriyan-E-Farangi, Dil-O-Nazar Ka HijabBahisht-E-Magrabiyan, Jalwa Ha’ay Pa Ba-Rakab
go sarāpā hijāb haiñ phir bhītere ruḳh kī naqāb haiñ ham log
yak nuqta tire safha-e-ruḳh par na.iiñ bejāis mukh ko tire safha-e-qur.āñ suuñ kahūñgā
tasavvur se lab-e-la.alīñ ke tere ham agar ro deñto jo laḳht-e-jigar āñkhoñ se nikle ik raqam nikle
har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kīab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
Kheerah Na Kar Saka Mujhe Jalwa’ay Danish-e-FarangSurma Hai Meri Ankh Ka Khak-e-Madina-o-Najaf
ham pe nāzil huā sahīfa-e-ishqsāhibān-e-kitāb haiñ ham log
vo nāznīñ adā meñ ejaaz hai sarāpāḳhūbī meñ gul-ruḳhāñ suuñ mumtāz hai sarāpā
dil-e-sad-chāk banāyā to balā se lekinzulf-e-mushkīñ kā tire shāna banāyā hotā
nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kāmastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
Teri Nigah Firomaya, Hath Hai KotahTera Gunah Ke Nakheel-e-Buland Ka Hai Gunah
jab milī aañkh hosh kho baiThekitne hāzir-javāb haiñ ham log
ai shoḳh tujh nayan meñ dekhā nigāh kar karāshiq ke mārne kā andāz hai sarāpā
shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us nevarna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā
ḳhāna-zād-e-zulf haiñ zanjīr se bhāgeñge kyuuñhaiñ giraftār-e-vafā zindāñ se ghabarāveñge kyā