ishq kī teġh-e-jigar-dār uḌā lī kis neilm ke haath meñ ḳhālī hai niyām ai saaqī
apne hudūd se na baḌhe koī ishq meñjo zarra jis jagah hai vahīñ āftāb hai
dil-e-nākām ke haiñ kaam ḳharābkar liyā āshiqī meñ naam ḳharāb
ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hailek nādānī se apnī tū ne samjhā sahl hai
manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezāz haishaah sab baste haiñ yaañ koī gadā miltā nahīñ
nuqte pe tere ḳhaal ke bāñdhā hai jin ne dilvo dā.ere meñ ishq ke sābit-qadam huā
ik umr chāhiye ki gavārā ho nīsh-e-ishqrakkhī hai aaj lazzat-e-zaḳhm-e-jigar kahāñ
ishq ik 'mīr' bhārī patthar haikab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai
saḳhtī kashān-e-ishq kī pūchhe hai kyā ḳhabarvo log rafta rafta sarāpā alam hue
lutf-e-kalām kyā jo na ho dil meñ dard-e-ishqbismil nahīñ hai tū to taḌapnā bhī chhoḌ de
allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñfaizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
chaal kī rahnumā-e-ishq ne bhīvo dikhāyā jo thā maqām ḳharāb
ishq kā rasta sarāsar hai dam-e-shamshīr parbul-havas is raah meñ rakhnā qadam kyā sahl hai
gale lagā.eñ kareñ pyaar tum ko eid ke dinidhar to aao mire gul-ezār eid ke din
shāyad ki dām-e-ishq meñ taaza huā hai bandva.ade pe gul-ruḳhāñ ke jise e'timād hai
hotī nahīñ qubūl duā tark-e-ishq kīdil chāhtā na ho to zabāñ meñ asar kahāñ
ishq un kī aql ko hai jo mā-sivā hamārenāchīz jānte haiñ nā-būd jānte haiñ
ahl-e-havas kī fat.h hai tark-e-nabard-e-ishqjo paañv uTh ga.e vahī un ke alam hue
hai āshiqī meñ rasm alag sab se baiThnābut-ḳhāna bhī haram bhī kalīsā bhī chhoḌ de
yā-rab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñtaskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ
ma.arka hai aaj husn o ishq kādekhiye vo kyā kareñ ham kyā kareñ
hai sham.a sar ke bal jo mohabbat meñ garm hoparvāna apne dil se ye kahtā hai jal ke chal
lagā liyā unheñ siine se josh-e-ulfat meñġharaz ki aa hī gayā mujh ko pyaar eid ke din
jise ishq kā tiir kaarī lageuse zindagī kyuuñ na bhārī lage
jaan bachtī nazar nahīñ aatīġhair ulfat bahut jatāne lage
mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñtamām umr maiñ nākāmiyoñ se kaam liyā
chhoḌī 'asad' na ham ne gadā.ī meñ dil-lagīsaa.il hue to āshiq-e-ahl-e-karam hue
hijāb iksīr hai āvāra-e-kū-e-mohabbat komirī ātish ko bhaḌkātī hai terī der-paivandī