abhī haiñ vo mire hamdam abhī ho jā.eñge dushmannahīñ ik vaz.a par sohbat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
qais kā zikr mire shān-e-junūñ ke aageagle vaqtoñ kā koī bādiya-paimā hogā
mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadarkoī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayā
nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrākyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage
barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam kā motī bād-e-sub.haur chamkātī hai us motī ko sūraj kī kiran
'mīr' marnā paḌe hai ḳhūbāñ parishq mat kar ki bad balā hai ishq
pachhtāoge bahut mire dil ko ujaaḌ karis ghar meñ aur kaun hai mehmāñ tumhīñ to ho
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsamaut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
shamīm-e-zulf ho us kī to ho farhat mire dil kosabā hovegā mushk-chīñ kī ḳhushbūī se kyā hāsil
fanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā haishikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā hai
mire sabr-o-tāb ke sāmne na hujūm-e-ḳhauf-o-rajā rahāvo chamak ke barq rah ga.ī vo garaj ke abr guzar gayā
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufrka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
ajab kyā gar mah o parvīñ mire naḳhchīr ho jaa.eñki bar fitrāk-e-sāhib daulat-e-bastam sar-e-ḳhud rā
barsoñ se mire us kī rahtī hai yahī sohbatteġh us ko uThānā to sar mujh ko jhukā jaanā
jazb-e-vahshat tire qurbān tirā kyā kahnākhiñch ke rag rag meñ mire nashtar-e-fassād aayā
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār haimirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazātirī zulf ke dhyān meñ kaun sī shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā
marnā bhī zarūrī hai ḳhudā bhī hai koī chiizai hirs ke bando havas-e-jāh kahāñ tak
mujhe bahr-e-ġham se ubuur kī nahīñ fikr ai mire chāra-garnahīñ koī chāra-kār ab mire sar se aab guzar gayā
āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaammajnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage
ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñyahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ
jiine meñ iḳhtiyār nahīñ varna ham-nashīñham chāhte haiñ maut to apnī ḳhudā se aaj
ishq ke aate hī muñh par mire phūlī hai basantho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā
kiyā ta.ajjub ki mirī rūh-e-ravāñ tak pahuñchepahle koī mire naġhmoñ kī zabāñ tak pahuñche
hamesha fitne hī barpā kiye mire sar parhuā ye aur to us fitna-gar se kuchh na huā
public meñ zarā haath milā lījiye mujh sesāhab mire īmān kī qīmat hai to ye hai
ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaateaa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage
tujhe yaad kyā nahīñ hai mire dil kā vo zamānavo adab-gah-e-mohabbat vo nigah kā tāziyāna