mire sāmne ġhair se bhī ishāreidhar bhī udhar dekh kar dekh lenā
qaid-e-hastī se kab najāt 'jigar'maut aa.ī agar hayāt ga.ī
kyā gunah kyā jurm kyā taqsīr merī kyā ḳhatāban gayā jo is tarah haq meñ mire jallād tū
pechīda zindagī ke karo tum muqaddamedikhlā hī degī maut natīja nikāl ke
zahe-nasīb jo ho karbalā kī maut ai 'nazm'ki uḌ ke ḳhāk-e-shifā aa.e ḳhud kafan kī taraf
mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhetū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage
mire gulū meñ hai ik naġhma jibra.īl-āshobsambhāl kar jise rakkhā hai lā-makāñ ke liye
mire dil ne vo naala paidā kiyā haijaras ke bhī jo hosh khotā rahegā
chaliye āshiq kā janāza uTThāaap baiThe hue kyā karte haiñ
dil ko sukūn ruuh ko ārām aa gayāmaut aa ga.ī ki dost kā paiġhām aa gayā
go tīr-e-be-gumāñ hai mire paas par abhījaa.e nikal ke sīna-e-charḳh-e-barīñ se duur
marnā qubūl hai magar ulfat nahīñ qubūldil to na dūñgā aap ko maiñ jaan lījiye
maut kā ghar hai āsmāñ is se kahīñ mafar nahīñnikleñ to koī dar nahīñ bhāgeñ to rahguzar nahīñ
sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñbaiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage
bāda-gardān-e-ajam vo arabī merī sharābmire sāġhar se jhijakte haiñ mai-āshām abhī
bas ai 'mīr' mizhgāñ se poñchh āñsuoñ kotū kab tak ye motī pirotā rahegā
mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktāmirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaadshāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
yaañ tak adū kā paas hai un ko ki bazm meñvo baiThte bhī haiñ to mire ham-nashīñ se duur
jazba-e-dil ne mire tāsīr dikhlā.ī to haighuñgrūoñ kī jānib-e-dar kuchh sadā aa.ī to hai
laakh vo be-ruḳhī kare laakh vo kaj-ravī karekuchh to malāl is kā ho dil ko mire magar nahīñ
phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftārrakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage
kise nahīñ hai tamannā-e-sarvarī lekinḳhudī kī maut ho jis meñ vo sarvarī kyā hai
dil lagā ho to jī jahāñ se uThāmaut kā naam pyaar kā hai ishq
hasrat baras rahī hai hamāre mazār parkahte haiñ sab ye qabr kisī naujavāñ kī hai
aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekinbañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai