maut se pahle mujhe qatl karous kā ehsān huā jaatā hai
mujhe thā shikva-e-hijrāñ ki ye huā mahsūsmire qarīb se ho kar vo nā-gahāñ guzre
hai bahut dushvār marnā ye sunā karte the hampar judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl hai
zehan merā vo qayāmat ki do-ālam pe muhītaap aaise ki mire zehan meñ aa hī na sake
ġhazal kahī hai ki motī piro.e haiñ ai 'nazm'vo kaun sher hai jo durr-e-shāhvār nahīñ
hai vo der āshnā to aib hai kyāmarte haiñ ham inhīñ adāoñ par
hamārī qabr pe kyā ehtiyāj-e-ambar-o-ūdsulag rahā hai har ik ustuḳhvāñ agar kī tarah
ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīkik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage
nazar nahīñ to mire halqa-e-suḳhan meñ na baiThki nukta-hā-e-ḳhudī haiñ misāl-e-teġh-e-asīl
mah ne aa sāmne shab yaad dilāyā thā usephir vo tā sub.h mire jī se bhulāyā na gayā
ye kis ne jalva hamāre sar-e-mazār kiyāki dil se shor uThā haa.e be-qarār kiyā
ai mohtasib na pheñk mire mohtasib na pheñkzālim sharāb hai are zālim sharāb hai
hai mire shoḳh kī bālīda vo kāfir āñkheñjis ke ham chashm zarā nargis-e-bādām na ho
zindagānī kā mazā miltā thā jin kī bazm meñun kī qabroñ kā bhī ab mujh ko patā miltā nahīñ
laa.ī hubāb tak ko sail-e-fanā bahā karik aah khīñchne ko ik dam kī zindagī meñ
jiite jī maut ke tum muñh meñ na jaanā hargizdosto dil na lagānā na lagānā hargiz
naza.a meñ huuñ mirī mushkil karo āsāñ yāroñkholo ta۔avīz-e-shifā jald mire baazū se
juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūrjuz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage
mire junūñ ne zamāne ko ḳhuub pahchānāvo pairahan mujhe baḳhshā ki paara paara nahīñ
ghabrā na 'mīr' ishq meñ us sahal-e-zīst parjab bas chalā na kuchh to mire yaar mar ga.e
kuchh aa ga.ī dāvar-e-mahshar se hai ummīd mujhekuchh aap ne mire kahne kā e'tibār kiyā
mire dil kī betābiyāñ bhī liye jādabe paañv muñh pher kar jaane vaale
ḳhāl-e-lab-e-shīrīñ kā diyā bosa kab us neik chaaT lagāne ko mire nīshkarī dī
gale lagā.eñ kareñ pyaar tum ko eid ke dinidhar to aao mire gul-ezār eid ke din
gavāh kaun mire qatl kā ho mahshar meñabhī se saarā zamāna hai teġh-zan kī taraf
kah do koī saaqī se ki ham marte haiñ pyāsegar mai nahīñ de zahr hī kā jaam balā se
hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hoteghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage
mire kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nābna madrase meñ hai baaqī na ḳhānqāh meñ hai
mujhe kaam rone se aksar hai nāsehtū kab tak mire muñh ko dhotā rahegā