āvegī merī qabr se āvāz mere ba.adubhreñge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad
ho gayā farz mujhe shauq kā daftar likhnājab mire haath koī ḳhāma-e-faulād aayā
tū mire hāl-e-pareshāñ pe bahut tanz na karapne gesū bhī zarā dekh kahāñ tak pahuñche
minnat thī bosa-e-lab-e-shīrīñ ki dil mirāmujh ko sū-e-mazār-e-shakar ganj le chalā
na bahte ashk to tāsīr meñ sivā hotesadaf meñ rahte ye motī to be-bahā hote
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī hoaatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjheunheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna
sham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirāhar shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.ad
kyā aa.e rāhat aa.ī jo kunj-e-mazār meñvo valvala vo shauq vo armān to gayā
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ raheshāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
sab rañg meñ us gul kī mire shaan hai maujūdġhāfil tū zarā dekh vo har aan hai maujūd
mahall-e-shukr haiñ 'akbar' ye darafshāñ nazmeñhar ik zabāñ ko ye motī nahīñ atā hote
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hairahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
mire ḳhaak o ḳhuuñ se tū ne ye jahāñ kiyā hai paidāsila-e-shahid kyā hai tab-o-tāb-e-jāvedāna
us kā ḳhayāl chashm se shab ḳhvāb le gayāqasme ki ishq jī se mire taab le gayā
ye samajh kar tujhe ai maut lagā rakkhā haikaam aatā hai bure vaqt meñ aanā terā
nazar milā ke mire paas aa ke luuT liyānazar haTī thī ki phir muskurā ke luuT liyā
har taar kā dāman ke mire kar ke tabarruksar-basta har ik ḳhār-e-bayābān hai maujūd
ġharīb akbar ke gard kyuuñ meñ ḳhayāl vaa.iz se koī kah deuse Darāte ho maut se kyā vo zindagī hī se Dar chukā hai
ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage
tirī banda-parvarī se mire din guzar rahe haiñna gila hai dostoñ kā na shikāyat-e-zamāna
tum nahīñ jānte ab tak ye tumhāre andāzvo mire dil meñ samā.e haiñ ki jī jāntā hai
duhā.ī hai mire allāh kī duhā.ī haikisī ne mujh se bhī mujh ko chhupā ke luuT liyā