aarzū hai mujhe ik shaḳhs se milne kī bahutnaam kyā luuñ koī allāh kā bandā hogā
hai mujhe bād-az-savāl-e-bosa ḳhvāhish vasl kīye tamannā ek is saa.il ke dil meñ aur hai
vasl kā us ke dil-e-zār tamannā.ī haina mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai
isī kā.enāt meñ ai 'jigar' koī inqalāb uThegā phirki buland ho ke bhī aadmī abhī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai
le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāttū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā
pur-soz nazar-bāz o niko-bīn o kam aarzūāzād o giraftār o tahī kiisa o ḳhursand
kariye to gila kis se jaisī thī hameñ ḳhvāhishab vaise hī ye apne armān nikalte haiñ
hasrat baras rahī hai hamāre mazār parkahte haiñ sab ye qabr kisī naujavāñ kī hai
jo niklī hogī koī aarzū to ye bhī niklegātumhārā tīr-e-hasrat ban gayā dil meñ nihāñ ho kar
shab-e-guzishta ke saaz o sāmāñ ke ab kahāñ haiñ nishān baaqīzabān-e-shama-e-sahar pe hasrat kī rah ga.ī dāstān baaqī
tamannā hai ye dil meñ jab talak hai dam meñ dam apne'zafar' muñh se hamāre naam us kā dam-ba-dam nikle
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukrshakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānālazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
kaun maqsad ko ishq bin pahuñchāaarzū ishq mudda.ā hai ishq
maiñ tamannā-e-shahādat kā mazā bhuul gayāaaj is shauq se armān se jallād aayā
kisī se bas ki umīd-e-kushūd-e-kār nahīñmujhe ajal ke bhī aane kā e'tibār nahīñ
hai jo qismat meñ vahī hogā na kuchh kam na sivāaarzū kahte haiñ kis chiiz ko hasrat kaisī
thī asīrān-e-qafas ko aarzū parvāz kīkhul ga.ī khiḌkī qafas kī kyā ki qismat khul ga.ī
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koībaad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
ḳhayāl-e-marg kab taskīñ dil-e-āzurda ko baḳhshemire dām-e-tamannā meñ hai ik said-e-zabūñ vo bhī
Haram Ke Dil Mein Souz-e-Arzoo Payda Nahin HotaKe Paidai Teri Ab Tak Hijab Amaiz Hai Saqi
sabz hotī hī nahīñ ye sarzamīñtuḳhm-e-ḳhvāhish dil meñ tū botā hai kyā
Dartā huuñ dekh kar dil-e-be-ārzū ko maiñsunsān ghar ye kyuuñ na ho mehmān to gayā
pahlū meñ tū ho ai dil phir hasrateñ hazāroñkis baat kī kamī hai terī salāmtī meñ
hasrat bahut taraqqī-e-duḳhtar kī thī unheñparda jo uTh gayā to vo āḳhir nikal ga.ī
mai-e-ishrat kī ḳhvāhish sāqi-e-gardūñ se kyā kiijeliye baiThā hai ik do chaar jām-e-vāzh-gūñ vo bhī