bhalā ho afsurda-ḳhātirī kā ki hasratoñ ko dabā ke rakkhābachā liyā harzagī se us ne lihāz-e-nāmūs-o-nañg ho kar
jab sar meñ havā-e-tā.at thī sarsabz shajar ummīd kā thājab sar-sar-e-isyāñ chalne lagī is peḌ ne phalnā chhoḌ diyā
in hasratoñ se kah do kahīñ aur jā baseñitnī jagah kahāñ hai dil-e-dāġh-dār meñ
bahut kaam lene the jis dil se ham kovo sarf-e-tamannā huā chāhtā hai
ye husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnājiine kī tamannā hai marne kā zamānā hai
huuñ qatra-zan ba-vādī-e-hasrat shabāna rozjuz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā
matā-e-be-bahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandīmaqām-e-bandagī de kar na luuñ shān-e-ḳhudāvandī
bahut aarzū thī galī kī tirīso yaañ se lahū meñ nahā kar chale
nahīñ kotāh dāman-e-ummīdaage ab dast-e-nā-rasā jaane
uThe the talvār khīñch kar tum to phir ta.ammul na chāhiye thāki rah ga.ī mere dil kī hasrat shahīd-e-teġh-e-darañg ho kar
ġharīb dil ne bahut ārzūeñ paidā kiiñmagar nasīb kā likkhā ki sab kā ḳhuun huā
sab miTā deñ dil se haiñ jitnī ki us meñ ḳhvāhisheñgar hameñ mālūm ho kuchh us kī ḳhvāhish aur hai
dallāla ne ummīd dilā.ī to hai lekindete nahīñ kuchh dil ko tasallī ye dilāse
is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnārone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaateaa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage
butoñ se tujh ko umīdeñ ḳhudā se naumīdīmujhe batā to sahī aur kāfirī kyā hai
ummid-vār-e-vāda-e-dīdār mar chaleaate hī aate yaaro qayāmat ko kyā huā
tujhe to vāda-e-dīdār ham se karnā thāye kyā kiyā ki jahāñ ko umīd-vār kiyā
hasrat shabāb kī hai ayyām-e-sheb meñ bhīma.adūm kī havas hai zaa.il ko DhūñDte haiñ
ummīd-e-chashm-e-muravvat kahāñ rahī baaqīzarīya bātoñ kā jab sirf telephone huā
vaañ irāda aaj us qātil ke dil meñ aur haiaur yahāñ kuchh aarzū bismil ke dil meñ aur hai
ḳhush hai ummīd-e-ḳhuld par 'hālī'koī pūchhe ki kyā kiyā tū ne
isī ummīd par ham tālibān-e-dard jiite haiñḳhoshā dard de ki terā aur dard-e-lā-davā hogā
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchhīd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
kise nahīñ hai tamannā-e-sarvarī lekinḳhudī kī maut ho jis meñ vo sarvarī kyā hai
tujh se do-chār hone kī hasrat ke mubtilājab jī hue vabāl to nā-chār mar ga.e
kuchh aa ga.ī dāvar-e-mahshar se hai ummīd mujhekuchh aap ne mire kahne kā e'tibār kiyā
ghaTā.eñ ghir ke kyā kyā hasrat-e-farhād par roiiñchaman tak aa ga.iiñ nahreñ pahāḌoñ se ravāñ ho kar