Tabeeb-e-Ishq Ne Dekha Mujhe To FarmayaTera Marz Hai Faqat Arzoo Ki Be-Naishi
hasrat hai is ke dekhne kī dil meñ be-qayāsaġhlab ki merī āñkheñ raheñ baaz mere ba.ad
aarzū hī na rahī sub.h-e-vatan kī mujh koshām-e-ġhurbat hai ajab vaqt suhānā terā
ḳhūn-e-hasrat kah rahā hai dāstān-e-lucknowrah gayā hai ab yahī rañgīñ-bayān-e-lucknow
ummīd TuuTī huī hai merī jo dil mirā thā vo mar chukā haijo zindagānī ko talḳh kar de vo vaqt mujh par guzar chukā hai
munhasir marne pe ho jis kī umiidnā-umīdī us kī dekhā chāhiye
Buton Se Tujh Ko Umeedain, Khuda Se NaumeediMujhe Bata To Sahi Aur Kafiri Kya Hai!
'mīr' gum-gashta kā milnā ittifāqī amr haijab kabhū paayā hai ḳhvāhish-mand paayā hai bahut
nā-ummīdī baḌh ga.ī hai is qadaraarzū kī aarzū hone lagī
isī umiid pe ham din ḳhizāñ ke kāTte haiñkabhī to bād-e-bahār aa.egī chaman kī taraf
chaak kī ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī karesub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare
Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, LekinKhudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai!
ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamannāis vaqt udhar se vo idhar dekh rahe haiñ
bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne kīsunā hai ruuh ko aanā hai phir badan kī taraf
gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamālek dil tis par ye nā-ummīd-vārī haa.e haa.e
Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka DawamWaye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !
jis qadar maiñ ne tujh se ḳhvāhish kīis se mujh ko sivā diyā tū ne
ham Duub kar mareñge hasrat rahegī tujh kojab ḳhaak hī na hogī barbād kyā karegā
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chukedekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
Khudaya! Arzoo Meri Yehi HaiMera Noor-e-Baseerat Aam Kar De