kāv-kāve mizha-e-yār o dil-e-zār-o-nazārguth ga.e aise shitābī ki chhuḌāyā na gayā
Ilm Ra Bartan Zni Mare BawadIlm Ra Bar Dil Zni Yaare Bawad
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār haimirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
dushman se milte julte haiñ ḳhātir se dostīkyā fā.eda jo dost ko dushman banā.eñ ham
jin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yārun kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huā
tazkira dehli-e-marhūm kā ai dost na chheḌna sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz
dost ahbāb se hañs bol ke kaT jā.egī raatrind-e-āzād haiñ ham ko shab-e-furqat kaisī
barq-e-ḳhirman-zār gauhar hai nigāh-e-tez yaañashk ho jaate haiñ ḳhushk az-garmī-e-raftār-e-dost
majnūñ na dasht meñ hai na farhād koh meñthā jin se lutf-e-zindagī ve yaar mar ga.e
‘Khushk Maghaz-o-Khushk Taar-o-Khushk PostAz Kuja Mee Ayed Aen Awaz-e-Dost’
ajab inqilāb-e-zamāna hai mirā muḳhtasar sā fasāna haiyahī ab jo baar hai dosh par yahī sar thā zānu-e-yār par
mile jo yaar kī shoḳhī se us kī bechainītamām raat dil-e-muztarib ko pyaar kiyā
kitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liyedo gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñ
shā.irī mar chukī ab zinda na hogī yaaroyaad kar kar ke use jī na kuḌhānā hargiz
kūcha-e-yār meñ jaatā to nazāra kartāqais āvāra hai jañgal meñ ye vahshat kaisī
hai savā neze pe us ke qāmat-e-nau-ḳhez seāftāb-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastār-e-dost
Tuk 'mīr'-e-jigar-soḳhta kī jald ḳhabar lekyā yaar bharosā hai charāġh-e-saharī kā
Kya Khabar Iss Ko Ke Hai Ye Raaz KyaDost Kya Hai, Dost Ki Awaz Kya
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar'ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par
mirā dushman ba-zāhir chaar din ko dost hai terākisī kā ho rahe ye har kisī se ho nahīñ saktā
dekh kar ā.īna kyā kahtā hai yaaro ab vo shoḳhmaah se sad chand behtar haiñ adā-dārī meñ ham
ġham-e-rashk ko talḳh samjhe the hamdamso vo bhī gavārā huā chāhtā hai
sheḳh ne nāqūs ke sur meñ jo ḳhud hī taan līphir to yāroñ ne bhajan gaane kī khul kar Thaan lī
ai adū-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rahkardanī hai jam.a tāb-e-shoḳhī-e-dīdār-e-dost
us kī to dil-āzārī be-hech hī thī yaarokuchh tum ko hamārī bhī taqsīr nazar aa.ī