chupke chupke mujh ko rote dekh paatā hai agarhañs ke kartā hai bayān-e-shoḳhī-e-guftār-e-dost
ummid-vār-e-vāda-e-dīdār mar chaleaate hī aate yaaro qayāmat ko kyā huā
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe HainNa Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana
haañ sazā de ai ḳhudā-e-ishq ai taufīq-e-ġhamphir zabān-e-be-adab par zikr yaar aa hī gayā
kar chuke sab apnī apnī hikmateñdam nikaltā ho to hamdam kyā kareñ
zulm-pesha zulm-sheva zulm-rān o zulm-dostdushman-e-dil dushman-e-jāñ dushman-e-tan aap haiñ
dostoñ kī bhī na ho parvā jisebe-niyāzī us kī dekhā chāhiye
kyuuñ kibr-o-ġhurūr is daur pe hai kyuuñ dost falak ko samjhā haigardish se ye apnī baaz aayā yā rañg badalnā chhoḌ diyā
ab to 'haidar' aur hī kuchh rañg haiñmāntā huuñ yaar kyuuñ kaisī kahī
mehrbānī-hā-e-dushman kī shikāyat kījiyetā bayāñ kiije sipās-e-lazzat-e-āzār-e-dost
jaatā hai yaar teġh-ba-kaf ġhair kī tarafai kushta-e-sitam tirī ġhairat ko kyā huā
Na Dekha Ankh Utha Kar Jalwa-e-DostQayamat Mein Tamasha Ban Gya Main!
jaan hī de dī 'jigar' ne aaj pā-e-yār parumr bhar kī be-qarārī ko qarār aa hī gayā
zamāna dostī par in hasīnoñ kī na itrā.eye ālam-dost aksar dushman-e-ālam bhī hote haiñ
aaj har ek jo yaaro nazar aatā hai niDhālapnī abrū kī vo khīñche hue samsām na ho
dost haiñ jab zaḳhm-e-dil se be-ḳhabarun ko apne ashk-e-ḳhūñ se kyā ġharaz
masti-e-lāla ab kahāñ us kā pyāla ab kahāñdaur-e-tarab guzar gayā āmad-e-yār ho chukī
nahīñ ab jahān meñ dostī kabhī rāste meñ jo mil ga.enahīñ matlab ek ko ek se ye idhar chalā vo udhar gayā
ye ġhazal apnī mujhe jī se pasand aatī hai aaphai radīf-e-sher meñ 'ġhālib' zi-bas takrār-e-dost
ishq meñ zillat huī ḳhiffat huī tohmat huīāḳhir āḳhir jaan dī yāroñ ne ye sohbat huī
'Daraig Amdam Zaan Hama BostanTahi Dast Raftan Suay Dostan
jinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār par
sar dostoñ kā kaaT ke rakhte haiñ sāmneġhairoñ se pūchhte haiñ qasam kis kī khā.eñ ham
ai 'zafar' charḳh pe ḳhurshīd jo yuuñ kāñpe haijalva-gar aaj kahīñ yaar lab-e-bām na ho
jiite jī maut ke tum muñh meñ na jaanā hargizdosto dil na lagānā na lagānā hargiz
maza hai spēch kā dinner meñ ḳhabar ye chhaptī hai pionēr meñfalak kī gardish ke saath hī saath kaam yāroñ kā chal rahā hai
darpai haiñ mere qatl ke ahbāb aur maiñḳhush huuñ ki mere ḳhuun meñ rañgte haiñ yaar haath
chashm-e-band-e-ḳhalq juz timsāl-e-ḳhud-bīnī nahīñaa.ina hai qālib-e-ḳhisht-e-dar-o-dīvār-e-dost