hamārī āh-e-be-tāsīr kā haalkuchh apne dil se kuchh aġhyār se pūchh
ġhair yuuñ kartā hai merī pursish us ke hijr meñbe-takalluf dost ho jaise koī ġham-ḳhvār-e-dost
nazar 'mīr' ne kaisī hasrat se kībahut ro.e ham us kī ruḳhsat ke baad
matā-e-be-bahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandīmaqām-e-bandagī de kar na luuñ shān-e-ḳhudāvandī
marnā hai un ke paañv pe rakh kar sar-e-niyāzkarnā hai aaj qissa-e-ġham muḳhtasar mujhe
hijr ke haath se ab ḳhaak paḌe jiine meñdard ik aur uThā aah nayā siine meñ
lazzat-e-ishq ilāhī miT jaa.edard armān huā jaatā hai
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid nekar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
uThte haiñ valvale kuchh har baar dard ban karkyā jāniye jigar ko yā dil ko DhūñDte haiñ
ashk ḳhūnīñ suuñ jo kiyā hai vazūmaz.hab-e-ishq meñ namāzī hai
nahīñ juz girya-e-ġham hāsil-e-ishqhamārī chashm-e-dariyā-bār se pūchh
barq-e-ḳhirman-zār gauhar hai nigāh-e-tez yaañashk ho jaate haiñ ḳhushk az-garmī-e-raftār-e-dost
dil hai daaġh jigar hai TukḌe aañsū saare ḳhuun huelohū paanī ek kare ye ishq-e-lāla-azārāñ hai
talāsh us kī fazāoñ meñ kar nasīb apnājahān-e-tāza mirī āh-e-sub.h-gāh meñ hai
maiñ duur huuñ to rū-e-suḳhan mujh se kis liyetum paas ho to kyuuñ nahīñ aate nazar mujhe
ashk o laḳht-e-jigar āñkhoñ meñ nahīñ haiñ merehaiñ bhare laal o guhar ishq ke ganjīne meñ
girya kyā zabt karūñ ai nāsehashk paimān huā jaatā hai
sayyad uTThe jo gazette le ke to lākhoñ laa.eshaiḳh qur.ān dikhāte phire paisā na milā
zaḳhm-e-jigar kā mere hai rashk dostoñ komartā huuñ maiñ ki ye kyuuñ qātil ko DhūñDte haiñ
na pūchho āh-o-zārī kī haqīqatazīzāñ āshiqī kā muqtazā hai
hai tajallī bhī naqāb-e-rū-e-yārus ko kin āñkhoñ se dekhā chāhiye
kaafī hai nishānī tirā chhalle kā na denāḳhālī mujhe dikhlā ke ba-vaqt-e-safar añgusht
falak ne aah tirī rah meñ ham ko paidā karba-rañg-e-sabza-e-nūrasta pā.emāl kiyā
maqām-e-parvarish-e-āh-o-lāla hai ye chamanna sair-e-gul ke liye hai na āshiyāñ ke liye
ab to ye bhī nahīñ rahā ehsāsdard hotā hai yā nahīñ hotā
hote hote chashm se aaj ashk-bārī rah ga.īaabrū baare tirī abr-e-bahārī rah ga.ī
falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñjahāñ bajte haiñ naqqāre vahīñ mātam bhī hote haiñ
afsurda huuñ ibrat se davā kī nahīñ hājatġham kā mujhe ye zo.af hai bīmār nahīñ huuñ