Khamosh Hai Chandani Qamar KiShakhain Hain Khamosh Har Shajar Ki
Fitrat Be-Hosh Ho Gyi HaiAghosh Mein Shab Ke So Gyi Hai
Tanhai-e-Shab Mein Hai Hazeen KyaAnjum Nahin Tere Hum-Nasheen Kya?
Ye Chand, Ye Dasht-o-Dar, Ye KuhsarFitrat Hai Tamam Nasteran Zaar
Gye Woh Ayyam, Ab Zamana Nahin Hai Sehra Nawardiyon KaJahan Mein Manind-e-Shama Souzan Miyan-e-Mehfil Gudaz Ho Ja
Hai Takht-e-La'al-e-Shafaq Par Jaloos-e-Akhtar-e-ShamBehisht-e-Didah-e-Beena Hai Husn-e-Manzar-e-Sham
Sukoot-e-Sham-e-Judai Huwa Bahana MujheKisi Ki Yaad Ne Sikhla Diya Tarana Mujhe
Andheri Raat Mein Karta Hai Woh Surood AaghazSada Ko Apni Samajhta Hai Ghair Ki Awaz
Yunhi Mein Dil Ko Payam-e-Shakeeb Deta HunShab-e-Firaq Ko Goya Faraib Deta Hun
Shama Ki Tarah Jabeen Bazm Gah-e-Alam MeinKhud Jalain, Didah-e-Aghyar Ko Beena Kar Dain
“Har Che Dil Guzrd Wa Qaf-e-Zuban Darad ShamaSokhtan Neest Khaya Le Ke Nihan Darad Shama”
Zaib Tere Khal Se Rukhsar-e-Darya Ko RaheTeri Shamaon Se Tasalli Beher-Pema Ko Rahe
Gul Tabassum Keh Raha Tha Zindagaani Ko MagarShama Boli, Girya-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin