us mauj-ḳhez dahr meñ ham ko qazā ne aahpaanī ke bulbule kī tarah se miTā diyā
na hove kohkan kyuuñ aa ke āshiqjo vo shīrīñ-adā gulgūñ-qabā hai
vo apne ruḳh kī sabāhat ko aap dekhte haiñjhuke hue gul-e-nargis haiñ yāsman kī taraf
ḳhatm kiyā sabā ne raqs gul pe nisār ho chukījosh-e-nashāt ho chukā saut-e-hazār ho chukī
hiire ke nau-ratan nahīñ tere hue haiñ jamāye chāñdnī ke phuul magar khil ke chaar pāñch
ma.āz-allāh us kī vārdāt-e-ġham ma.āz-allāhchaman jis kā vatan ho aur chaman-be-zār ho jaa.e
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chamanjānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chaman
barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam kā motī bād-e-sub.haur chamkātī hai us motī ko sūraj kī kiran
saaqī Tuk ek mausam-e-gul kī taraf bhī dekhTapkā paḌe hai rañg chaman meñ havā se aaj
kiyā mujh ishq ne zālim kuuñ aab āhista āhistaki ātish gul kuuñ kartī hai gulāb āhista āhista
ye mai-kashoñ kī adā abr-e-tar bhī siikh ga.ekinār-e-jū se jo uTThe chale chaman kī taraf
rañg-e-banafsha miT gayā sumbul-e-tar nahīñ rahāsehn-e-chaman meñ zīnat-e-naqsh-o-nigār ho chukī
kajī jin kī tabī.at meñ hai kab hotī vo sīdhī haikaho shāḳh-e-gul-e-tasvīr se kis tarah ḳham nikle
hai nazākat bas ki fasl-e-gul meñ me.amār-e-chamanqālib-e-gul meñ Dhalī hai ḳhisht-e-dīvār-e-chaman
qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū parchaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ
kartā huuñ maiñ jo naale sar-anjām baaġh meñmuñh dekho phir kareñge ham āvāz mere ba.ad
ajab kuchh lutf rakhtā hai shab-e-ḳhalvat meñ gul-rū suuñḳhitāb āhista āhista javāb āhista āhista
barg-e-ḳhizāñ-rasīda huuñ chheḌ na mujh ko ai nasīmzauq fuġhāñ kā hai mujhe shikva-e-abr-e-tar nahīñ
ab tak usī ravish pe hai 'akbar'-e-mast-o-be-ḳhabarkah de koī azīz-e-man fasl-e-bahār ho chukī
shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us nevarna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā
terī ārā.ish kā istiqbāl kartī hai bahārjauhar-e-ā.īna hai yaañ naqsh-e-ehzār-e-chaman
mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjheunheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna
bin gul muā hī maiñ to pa tū jā ke lauTiyosehn-e-chaman meñ ai par-e-parvāz mere ba.ad
bulbul-e-shīrāz kuuñ kartā huuñ yaadhusn kuuñ tere gulistāñ buujh kar