duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñsarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñ
'zafar' apnā karishma gar dikhāyā chashm-e-sāqī netamāshe jām-e-jam ke sab nazar sāġhar meñ āveñge
fasāna-e-shab-e-ġham un ko ik kahānī thīkuchh e'tibār kiyā kuchh na e'tibār kiyā
guftanī hai dil-e-pur-dard kā qissa lekinkis se kahiye koī mustafsir-e-hālāt to ho
laa.ī hubāb tak ko sail-e-fanā bahā karik aah khīñchne ko ik dam kī zindagī meñ
bekasī ke haal meñ yak aan maiñ tanhā nahīñġham tirā siine meñ mere hamdam-e-jānī huā
ho agar maqsad meñ nākāmī to kar sakte haiñ sabrdard-e-ḳhud-kāmī ko lekin be-davā paate haiñ ham
vahshat-afzā girya-hā mauqūf-e-fasl-e-gul 'asad'chashm-e-dariyā-rez hai mīzāb-e-sarkār-e-chaman
baḳhshish ne mujh ko abr-e-karam kī kiyā ḳhajilai chashm josh-e-ashk-e-nadāmat ko kyā huā
Na Cheen Lazzat-e-Aah-e-Sahar-Gehi Mujh SeNa Kar Nigah Se Tughafil Ko Iltifat Amaiz
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham sehaañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
tere dāñtoñ ke tasavvur se na thā gar āb-dārjo bahā aañsū vo durr-e-be-bahā kyūñkar huā
mohabbat ke bāzār meñ aur kyā haikoī dil dikhā.e agar dekh lenā
dāstān-e-ġham-e-dil kaun kahe kaun sunebazm meñ mauqa-e-iz.hār-e-ḳhayālāt to ho
āñkheñ dikhā rahī hai din se mujhe shab-e-ġhamāsār tīrgī ke haiñ din kī raushnī meñ
mujh par na karo zulm tum ai laili-e-ḳhūbāñmajnūñ huuñ tire ġham kuuñ bayābāñ suuñ kahūñgā
go bhalā.ī karke ham-jinsoñ se ḳhush hotā hai jītah-nashīñ us meñ magar durd-e-riyā paate haiñ ham
girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kīdar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā
tū sub.h qadam-ranja kare Tuk to hai varnakis vāste āshiq kī shab-e-ġham basar aave
Daba Rakha Hai Uss Ko Zakhmawer Ki Taiz Dasti NeBohat Neeche Suron Mein Hai Abhi Yourap Ka Wavela
ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhedard baḳhshā hai agar tū ne bajā.e-dil mujhe
apne maraz-e-ġham kā hakīm aur koī haiham aur tabīboñ kī davā kuchh nahīñ karte
bahut dard-mandoñ ko dekhā hai tū neye siina ye dil ye kalejā na dekhā
vaade bhī yaad dilāte haiñ gile bhī haiñ bahutvo dikhā.ī bhī to deñ un se mulāqāt to ho
mere har aañsū meñ ik ā.īna-e-tasvīr haimere har naale meñ hai tarz-e-fuġhān-e-lucknow
jaltā huuñ shab-o-roz tire ġham meñ ai sājanye soz tirā mash.al-e-sozāñ suuñ kahūñgā
dil-e-pur-dard se kuchh kaam lūñgāagar fursat milī mujh ko jahāñ meñ
ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānālazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
āh-e-sahar kī merī barchhī ke vasvase seḳhurshīd ke muñh uupar aksar sipar rahe hai
Rahe Hain, Aur Hain Firon Meri Ghaat Mein Ab TakMagar Kya Gham Ke Meri Asteen Mein Hai Yad-e-Baiza