dil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
bin tire ai but-e-ḳhud-kām ye dil ko hai ḳhatartere āshiq kā tamām aah kahīñ kaam na ho
jalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ ham
qāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal ke
gul hama-tan-zaḳhm haiñ phir bhī hama-tan-gosh haiñbe-asar kuchh nāla-hā-e-bulbul-e-shaidā haiñ aap
sohbat-e-ġhair muuñ jaayā na karodard-mandāñ kuuñ kuḌhāyā na karo
ġham-e-rashk ko talḳh samjhe the hamdamso vo bhī gavārā huā chāhtā hai
bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā haiġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
agarche gosha-guzīñ huuñ maiñ shā.iroñ meñ 'mīr'pa mere shor ne rū-e-zamīñ tamām liyā
jo ek thā ai nigāh tū ne hazār kar ke hameñ dikhāyāyahī agar kaifiyat hai terī to phir kise e'tibār hogā
ham ne bhī vaz-e-ġham badal Daalījab se vo tarz-e-iltifāt ga.ī
yahī gar josh-e-girya hai to bah kar saath ashkoñ kehazāroñ pāra-e-dil mere chashm-e-tar meñ āveñge
hañsā hañsā ke shab-e-vasl ashk-bār kiyātasalliyāñ mujhe de de ke be-qarār kiyā
pechīda zindagī ke karo tum muqaddamedikhlā hī degī maut natīja nikāl ke
the mahv lāla-o-gul kis kaif-e-be-ḳhudī meñzaḳhm-e-jigar ke Tāñke TuuTe hañsī hañsī meñ
hai agar ḳhātir-e-ushshāq aziizġhair kuuñ dars dikhāyā na karo
ik dard ho bas aaTh pahar dil meñ ki jis kotaḳhfīf davā se ho na taskīn duā se
vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye rañgki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-dīvār
ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyadder se bū kabāb kī sī hai
maiñ zulmat-e-shab meñ le ke niklūñgā apne darmāñda kārvāñ koshah nishāñ hogī aah merī nafas mirā sho.ala baar hogā
ġham meñ bhī hai surūr vo hañgām aa gayāshāyad ki daur-e-bāda-e-gulfām aa gayā
jo sargardānī apnī tere dīvāne dikhā.eñgeto phir kyā kyā bagūle dasht ke chakkar meñ āveñge
taḌap phir ai dil-e-nādāñ ki ġhair kahte haiñaḳhīr kuchh na banī sabr iḳhtiyār kiyā
na mehr o mah par mirī nazar hai na lāla-o-gul kī kuchh ḳhabar haifaroġh-e-dil ke liye hai kaafī tasavvur us rū-e-ātishīñ kā
zaḳhmoñ meñ ḳhud chamak hai aur us pe ye sitam hairañg-e-parīdañ se maiñ rahtā huuñ chāñdnī meñ
mujh ko turshī kā hai parhez sanamchīn-e-abrū kuuñ dikhāyā na karo
dil meñ dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhā hai gharpar use ālūda-e-hirs-o-havā paate haiñ ham
hujūm-e-girya kā sāmān kab kiyā maiñ neki gir paḌe na mire paañv par dar-o-dīvār
kab tak tazallum aah bhalā marg ke ta.iiñkuchh pesh aayā vāqi.a rahmat ko kyā huā
Kanta Woh De Ke Jis Ki Khatak La-zawal HoYa Rab! Woh Dard Jis Ki Kasak La-zawal Ho