jalva-gah-e-ḳhayāl meñ vo aa ga.e haiñ aajlo maiñ rahīn-e-zahmat-e-ḳhalvat nahīñ rahā
ā.īna kyuuñ na duuñ ki tamāshā kaheñ jiseaisā kahāñ se lā.ūñ ki tujh sā kaheñ jise
ishq bhī ho hijāb meñ husn bhī ho hijāb meñyā to ḳhud āshkār ho yā mujhe āshkār kar
aao kabhū to paas hamāre bhī naaz sekarnā sulūk ḳhuub hai ahl-e-niyāz se
apne faroġh-e-husn kī dikhlā ke vus.ateñmere hudūd-e-shauq baḌhā kar chale ga.e
bhaḌke hai dil kī ātish tujh neh kī havā suuñsho.ala namat jalā dil tujh husn-e-sho.ala-zā suuñ
merī girah-e-dil na khulī hai na khulegījab tak na khule zulf-e-girah-gīr kisī kī
tumheñ naaz ho na kyūñkar ki liyā hai 'dāġh' kā dilye raqam na haath lagtī na ye iftiḳhār hotā
fasl-e-gul ke aate hī 'akbar' hue behosh aapkholiye āñkhoñ ko sāhab jām-e-sahbā lījiye
hañsī meñ vo baat maiñ ne kah dī ki rah ga.e aap dañg ho karchhupā huā thā jo raaz dil meñ khulā vo chehre kā rañg ho kar
hai tajallī bhī naqāb-e-rū-e-yārus ko kin āñkhoñ se dekhā chāhiye
shoḳhī-e-chashm kā tū kis kī hai dīvāna 'anīs'āñkheñ maltā hai jo yuuñ naqsh-e-kaf-e-āhu se
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñgul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise
kholī haiñ zauq-e-dīd ne āñkheñ tirī agarhar rahguzar meñ naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār dekh
yaañ hue 'mīr' tum barābar ḳhaakvaañ vahī naaz o sargirānī hai
aa.e the chashm-e-shauq kī hasrat nikālnesar-tā-qadam nigāh banā kar chale ga.e
niklī hai jast kar kar har sañg-dil suuñ ātishchaqmāq jab palak kī jhāḌā hai tuuñ adā suuñ
vo ā.īna hai ki jis ko hai hājat-e-sīmābik iztirāb hai kaafī dil-e-safā ke liye
yuuñ aañkh un kī kar ke ishāra palaT ga.īgoyā ki lab se ho ke kuchh irshād rah gayā
qazā ke sāmne be-kār hote haiñ havās 'akbar'khulī hotī haiñ go āñkheñ magar biinā nahīñ hotīñ
na toḌte aarsī agar tum to itne yūsuf nazar na aateye qāfila khīñch laa.ī saarā shikast-e-ā.īna zañg ho kar
bhā ga.e haiñ aap ke andāz o naazkījiye iġhmāz jitnā chāhiye
jab ki maiñ kartā huuñ apnā shikva-e-zof-e-dimāġhsar kare hai vo hadīs-e-zulf-e-ambar-bār-e-dost
kuchh qadr apnī tū ne na jaanīye be-savādī ye kam-nigāhī
ashk āñkhoñ meñ kab nahīñ aatālohū aatā hai jab nahīñ aatā
lab thartharā ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar'jaate hue nigāh milā kar chale ga.e
maah ke siine upar ai sham.a-rūdaaġh hai tujh husn kī jhalkār kā
jo haath aa.e 'zafar' ḳhāk-pā-e-'faḳhruddīn'to maiñ rakhūñ use āñkhoñ ke tūtiyā ke liye