nigāh-e-shoḳh o chashm-e-shauq meñ dar-parda chhantī haiki vo chilman meñ haiñ nazdīk ham chilman ke baiThe haiñ
jis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñzindagī hai talḳh jiine kā mazā miltā nahīñ
shabāb o piirī kā aanā jaanā ġhazab kā pur-dard hai fasānaye rah ga.ī ban ke gard-e-hasrat vo uḌ gayā ruḳh se rañg ho kar
ishq bhī taak meñ baiThā hai nazar-bāzoñ kīdekhnā sher se āñkheñ na laḌānā hargiz
barq-e-ḳhirman-zār gauhar hai nigāh-e-tez yaañashk ho jaate haiñ ḳhushk az-garmī-e-raftār-e-dost
tū bachā bachā ke na rakh ise tirā aa.ina hai vo aa.inaki shikasta ho to azīz-tar hai nigāh-e-ā.īna-sāz meñ
ishq-peche kī tarah husn-e-giraftārī hailutf kyā sarv kī mānind gar āzād raho
har-sū dikhā.ī dete haiñ vo jalva-gar mujhekyā kyā fareb detī hai merī nazar mujhe
dil huā hai mirā ḳharāb-e-suḳhandekh kar husn-e-behijāb-e-suḳhan
dil ko kis shakl se apne na musaffā rakkhūñjalva-gar yaar kī sūrat hai is ā.īne meñ
khul ga.iiñ zulfeñ magar us shoḳh mast-e-nāz kījhūmtī bād-e-sabā phirtī hai mastānī huī
ġhazab kā husn hai ārā.isheñ qayāmat kīayaañ hai qudrat-e-parvardigār eid ke din
chashm-e-mūsā lā sakī ik us ke jalve kī na taabchashm-e-dil se jis ko dekhā bār-hā achchhī tarah
aañkh paḌtī hai har ik ahl-e-nazar kī tum partum meñ ruup ai gul o nasrīn o saman kis kā hai
arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ barā.e-ḳhanda haidāvā-e-jamiyat-e-ahbāb jā-e-ḳhanda hai
na vo ishq meñ rahīñ garmiyāñ na vo husn meñ rahīñ shoḳhiyāñna vo ġhaznavī meñ taḌap rahī na vo ḳham hai zulf-e-ayāz maiñ
vo garāñ ḳhvāb jo hai naaz kā apne so haidaad be-dād raho shab ko ki fariyād raho
Daalā hai be-ḳhudī ne ajab raah par mujheāñkheñ haiñ aur kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
jalva-pairā ho shāhid-e-ma.anījab zabāñ suuñ uThe naqāb-e-suḳhan
ashk o laḳht-e-jigar āñkhoñ meñ nahīñ haiñ merehaiñ bhare laal o guhar ishq ke ganjīne meñ
is tarah ahl-e-nāz naaz kareñbandagī hai ki ye ḳhudā.ī hai
ġhamza nahīñ hotā ki ishārā nahīñ hotāaañkh un se jo miltī hai to kyā kyā nahīñ hotā
ahl-e-sūrat ko nahīñ hai achchhī sīrat se ġharazachchhī sūrat chāhiye achchhī adā achchhī tarah
ek begāna vaar kar ke nigāhkyā kiyā chashm-e-āshnā tū ne
arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahājis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
kushāda dast-e-karam jab vo be-niyāz kareniyāz-mand na kyuuñ ājizī pe naaz kare
mirī ab āñkheñ nahīñ khultīñ zo.af se hamdamna kah ki niiñd meñ hai tū ye kyā ḳhayāl kiyā
Dartā huuñ jalva-e-ruḳh-e-jānāñ ko dekh karapnā banā na le kahīñ merī nazar mujhe