siyāhī jaise gir jaa.e dam-e-tahrīr kāġhaz parmirī qismat meñ yuuñ tasvīr hai shab-hā-e-hijrāñ kī
Pak Hota Hai Zan-O-Takhmeen Se Insan Ka ZameerKarta Hai Har Rah Ko Roshan Charagh-E-Arzoo
kahūñ kyā garm-joshī mai-kashī meñ sho.ala-rūyāñ kīki sham-e-ḳhāna-e-dil ātish-e-mai se farozāñ kī
Che Be Parwa Gazashtand Az Nawa’ay Subahgah-E-MannKe Burd Aan Shor-O-Masti Az Seeh Chasmaan-E-Kashmiri !
dareġh āh-e-sahar-gah kār-e-bād-e-sub.h kartī haiki hotī hai ziyāda sard-mehrī sham.a-rūyāñ kī
Gardish Mah-O-Sitara Ki Hai Nagwaar IsseDil Ap Apne Sham-O-Sahar Ka Hai Naqsh Band
ḳhushā iqbāl-e-rañjūrī ayādat ko tum aa.e hofaroġh-e-sham-e-bālīñ tāla-e-bedār-e-bistar hai
Nahin Zindagi Silsala Roz-O-Shab KaNahin Zindagi Masti-O-Neem Khawabi
ba-tūfāñ-gāh-e-josh-e-iztirāb-e-shām-e-tanhā.īshuā-e-āftāb-e-sub.h-e-mahshar tār-e-bistar hai
Ye Raaz Hum Se Chupaya Hai Meer Waaiz NeKe Khud Haram Hai Charagh-E-Haram Ka Parwana
sāqī-garī kī sharm karo aaj varna hamhar shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile
Munjam Ki Taqweem-E-Farda Hai BatilGiray Aasman Se Purane Sitare
dilā ye dard-o-alam bhī to muġhtanim hai ki āḳhirna girya-e-saharī hai na āh-e-nīm-shabī hai
Zameer-E-Jahan Iss Qadar Atisheen HaiKe Darya Ki Moujon Se Tootay Sitare
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon KaKe Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain
vo firāq aur vo visāl kahāñvo shab-o-roz o māh-o-sāl kahāñ