vo dil kahāñ hai ab ki jise pyaar kījiyemajbūriyāñ haiñ saath diye jā rahā huuñ maiñ
hamāre saath hī paidā huā hai ishq ai nāsehjudā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñ
jigar ke TukḌe hue jal ke dil kabāb huāye ishq jaan ko mere koī azaab huā
saañs kī tarkīb par miTTī ko pyaar aa hī gayāḳhud huī qaid us ko siine se lagāne ke liye
na hove kohkan kyuuñ aa ke āshiqjo vo shīrīñ-adā gulgūñ-qabā hai
ishq ko tark-e-junūñ se kyā ġharazcharḳh-e-gardāñ ko sukūñ se kyā ġharaz
ishq kiyā so diin gayā īmān gayā islām gayādil ne aisā kaam kiyā kuchh jis se maiñ nākām gayā
har-bun-e-mū se dam-e-zikr na Tapke ḳhuuñ naabhamza kā qissa huā ishq kā charchā na huā
be-ḳhatar kuud paḌā ātish-e-namrūd meñ ishqaql hai mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām abhī
ishq par kuchh na chalā dīda-e-tar kā qaabūus ne jo aag lagā dī vo bujhā.ī na ga.ī
'dāġh' ne ḳhuub āshiqī kā mazājal ke dekhā jalā ke dekh liyā
kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dīpar haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
marnā qubūl hai magar ulfat nahīñ qubūldil to na dūñgā aap ko maiñ jaan lījiye
na pūchho āh-o-zārī kī haqīqatazīzāñ āshiqī kā muqtazā hai
ishq se hai mujtanib zāhid abassher ko said-e-zabūñ se kyā ġharaz
nāla-e-'mīr' savād meñ ham tak doshīñ shab se nahīñ aayāshāyad shahr se us zālim ke āshiq vo badnām gayā
sharm-e-rusvā.ī se jā chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñḳhatm hai ulfat kī tujh par parda-dārī haa.e haa.e
ishq farmūda-e-qāsid se subuk-gām-e-amalaql samjhī hī nahīñ ma.anī-e-paiġhām abhī
marg-e-āshiq to kuchh nahīñ lekinik masīhā-nafas kī baat ga.ī
jauf-e-falak meñ ḳhaak bhī lazzat nahīñ rahījī chāhtā hai terī jafā.eñ uThā.eñ ham
dī tū ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishqhoñToñ ko jo ḳhushkī mirī āñkhoñ ko tarī dī
ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paḌājo barhaman ne kahā āḳhir vo sab karnā paḌā
'valī' kuuñ mat malāmat kar ai vaa.izmalāmat āshiqoñ par kab ravā hai
ishq bhī taak meñ baiThā hai nazar-bāzoñ kīdekhnā sher se āñkheñ na laḌānā hargiz
ishq meñ zillat huī ḳhiffat huī tohmat huīāḳhir āḳhir jaan dī yāroñ ne ye sohbat huī
ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.īuTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e haa.e
sheva-e-ishq hai āzādī o dahr-āshobītū hai zunnārī-e-but-ḳhāna-e-ayyām abhī
tark-e-ulfat bahut bajā nāsehlekin us tak agar ye baat ga.ī