aarzū hī na rahī sub.h-e-vatan kī mujh koshām-e-ġhurbat hai ajab vaqt suhānā terā
jalā jalā ke kiyā sham.a saañ tamām mujhebas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na huā
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tū aañkh khol karhashr kī jo ḳhabar na de aisī koī sahar nahīñ
sahar hone ko hai bedār shabnam hotī jaatī haiḳhushī minjumala-o-asbāb-e-mātam hotī jaatī hai
jaltā huuñ shab-o-roz tire ġham meñ ai sājanye soz tirā mash.al-e-sozāñ suuñ kahūñgā
sa.ī-e-paiham hai tarāzu-e-kam-o-kaif-e-hayātterī mīzāñ hai shumār-e-sahar-o-shām abhī
kis tarah kaaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigālhai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī haa.e haa.e
āh-e-sahar kī merī barchhī ke vasvase seḳhurshīd ke muñh uupar aksar sipar rahe hai
shab-e-vasl liiñ un kī itnī balā.eñki hamdam mire haath hī jānte haiñ
shab-e-visāl meñ bhī merī jaan ko ārāmazīzo dard-e-judā.ī ke Dar se kuchh na huā
kah diyā maiñ ne sahar hai jhūT-mūTho ga.e bedār kyuuñ kaisī kahī
vahī haiñ shāhid-o-sāqī magar dil bujhtā jaatā haivahī hai sham.a lekin raushnī kam hotī jaatī hai
aish hai aish ki us mah kā ḳhayāl-e-raushansham.a raushan kiyā mujh dil ke shabistāñ meñ aa
phir charāġh-e-lāla se raushan hue koh o damanmujh ko phir naġhmoñ pe uksāne lagā murġh-e-chaman
shab ko kisī ke ḳhvāb meñ aayā na ho kahīñdukhte haiñ aaj us but-e-nāzuk-badan ke paañv
āḳhir kahāñ talak ham ik roz ho chukeñgebarsoñ se va.ada-e-shab har sub.h par rahe hai
ġhazab hai 'dāġh' ke dil se tumhārā dil nahīñ miltātumhārā chāñd sā chehra mah-e-kāmil se miltā hai
letā hī rahā raat tire ruḳh kī balā.eñtū pūchh le ye zulf-e-pareshān hai maujūd
roz-e-siyah meñ saath koī de to jāniyejab tak faroġh-e-sham.a hai parvāna saath hai
sabā ye un se hamārā payām kah denāga.e ho jab se yahāñ sub.h o shaam hī na huī
barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam kā motī bād-e-sub.haur chamkātī hai us motī ko sūraj kī kiran
haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamāmmahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
garm-rau rāh-e-fanā kā nahīñ ho saktā patañgus se to sham.a-namat sar bhī kaTāyā na gayā
ġhair ke hote bhalā ai shām-e-vaslkyuuñ hamāre rū-ba-rū hone lagī
shāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulfchīre hai siina raat ko ye mū-shigāf-e-zulf