sahar hote hī dam niklā ġhash aate hī ajal aa.īkahāñ huuñ maiñ nasīm-e-sub.h pañkhā kis ko jhaltī hai
ishq kā sehr kāmyāb huāmaiñ tirā tū mirā javāb huā
isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jāki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ
dil nahīñ tujh ko dikhātā varna dāġhoñ kī bahāris charāġhāñ kā karūñ kyā kār-farmā jal gayā
mah ne aa sāmne shab yaad dilāyā thā usephir vo tā sub.h mire jī se bhulāyā na gayā
'dāġh' bhī hai ajiib sehr-bayāñbaat jis kī vo maan lete haiñ
aapas meñ aaj dast-o-garebāñ hai roz o shabai mehr-vash zarī kā nahīñ mū-e-bāf-e-zulf
na dikhlānā ilāhī ek aafat hai shab-e-furqatna jo kaaTe se kaTtī hai na jo Taale se Taltī hai
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrānasabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e
koī dam kā mehmāñ huuñ ai ahl-e-mahfilcharāġh-e-sahar huuñ bujhā chāhtā huuñ
sham.a-rūyāñ kī sar-añgusht-e-hinā.ī dekh karġhuncha-e-gul par-fishāñ parvāna-āsā jal gayā
Tuk 'mīr'-e-jigar-soḳhta kī jald ḳhabar lekyā yaar bharosā hai charāġh-e-saharī kā
sham.a-rū aap go hue lekinlutf-e-soz-o-gudāz kyā jāneñ
hai naaf koī girdāb-e-balā aur gol surīñ rāneñ haiñ safāhai saaq bilorīñ sham-e-ziyā paañv kī kafak phir vaisī hī
mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadarkoī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayā
tū abhī rahguzar meñ hai qaid-e-maqām se guzarmisr o hijāz se guzar pāras o shaam se guzar
vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñuThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
maġhrūr bahut the ham aañsū kī sarāyat parso sub.h ke hone ko tāsīr nazar aa.ī
tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe haiñham shaam se āsār-e-sahar dekh rahe haiñ
hiire ke nau-ratan nahīñ tere hue haiñ jamāye chāñdnī ke phuul magar khil ke chaar pāñch
karūñ zikr kyā maiñ shabāb kā sune kaun qissa ye ḳhvāb kāye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayā
isī kashmakash meñ guzrīñ mirī zindagī kī rāteñkabhī soz-o-sāz-e-'rūmī' kabhī pech-o-tāb-e-'rāzī'
kyā sham.a ke nahīñ haiñ havā-ḳhvāh bazm meñho ġham hī jāñ-gudāz to ġham-ḳhvār kyā kareñ
us sham.a kī majlis meñ jaanā hameñ phir vaañ seik zaḳhm-e-zabāñ taaza har roz uThā jaanā