sub.h mauj nasīm gulshan konafas-e-jāñ-fazā diyā tū ne
jigar par daaġh lab par dūd-e-dil aur ashk dāman meñtirī mahfil se ham mānind-e-sham.a sub.h-dam nikle
sitāra kyā mirī taqdīr kī ḳhabar degāvo ḳhud farāḳhi-e-aflāk meñ hai ḳhvār o zubūñ
sub.h-e-qayāmat ek dum-e-gurg thī 'asad'jis dasht meñ vo shoḳh-e-do-ālam shikār thā
ya.anī mānind-e-sub.h duniyā meñham jo paidā hue sau piir hue
shab-e-tīra meñ sham.a raushan konuur ḳhurshīd kā diyā tū ne
agar hotā zamāna gesū-e-shab-rañg kā teremirī shab-dīz saudā kā ziyāda-tar qadam nikle
muddat se hai āvāra-e-aflāk mirā fikrkar de ise ab chāñd ke ġhāroñ meñ nazar-band
fāriġh mujhe na jaan ki mānind-e-sub.h-o-mehrhai dāġh-e-ishq zīnat-e-jeb-e-kafan hunūz
qāfile meñ sub.h ke ik shor haiya.anī ġhāfil ham chale sotā hai kyā
jab huī sub.h aa ga.e nāsehunhīñ hazrat ko dekhtā huuñ maiñ
shumār ik shab kiyā ham ne jo apne dil ke dāġhoñ seto anjum charḳh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle
ye payām de ga.ī hai mujhe bād-e-sub.h-gāhīki ḳhudī ke ārifoñ kā hai maqām pādshāhī
jise nasīb ho roz-e-siyāh merā sāvo shaḳhs din na kahe raat ko to kyūñkar ho
āh-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTā diyāus baav ne hameñ to diyā sā bujhā diyā
shab-e-furqat uThā uThā kar sarsub.h-e-ishrat ko dekhtā huuñ maiñ
thā jalānā hī agar dūri-e-sāqī se mujheto charāġh-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
maiñ zulmat-e-shab meñ le ke niklūñgā apne darmāñda kārvāñ koshah nishāñ hogī aah merī nafas mirā sho.ala baar hogā
raat pī zamzam pe mai aur sub.h-damdho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke
samjhī na baad sub.h ki aa kar uThā diyāis fitna-e-zamāna ko nāhaq jagā diyā
har musībat hai be-mazā shab-e-ġhamaafat aafat ko dekhtā huuñ maiñ
hāthoñ se hameñ ishq ke din raat nahīñ chainfariyād o fuġhāñ din ko hai shab nāra-zanī hai
Garche Hai Meri Justujoo Dair-e-Haram Ki Naqsh BandMeri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-O-Somanat Mein
ġham nahīñ hotā hai āzādoñ ko besh az-yak-nafasbarq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham