'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakājise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
go bhalā.ī karke ham-jinsoñ se ḳhush hotā hai jītah-nashīñ us meñ magar durd-e-riyā paate haiñ ham
phir be-ḳhudī meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yārjaatā vagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ
the bure muġhbachoñ ke tevar lekshaiḳh mai-ḳhāne se bhalā khiskā
Iss Dair-e-Kuhan Mein Hain Gharzmand PoojariRanjeeda Button Se Hon To Karte Hain Khuda Yaad
raqīb o sheva-e-ulfat ḳhudā kī qudrat haivo aur ishq bhalā tum ne e'tibār kiyā
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaadshāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
kahāñ ke muslim kahāñ ke hindū bhulā.ī haiñ sab ne aglī rasmeñaqīde sab ke haiñ tīn-terah na gyārahvīñ hai na ashTamī hai
jo kui dekhe mirī añkhiyāñ ko roteuse abr-e-bahārāñ yaad aave
kiyā kis ne jigar-dārī kā da.avāshakeb-e-ḳhatir-e-āshiq bhalā kyā
sā.ad-e-sīmīñ donoñ us ke haath meñ lā kar chhoḌ diyebhūle us ke qaul-o-qasam par haa.e ḳhayāl-e-ḳhām kiyā
Rahi Na Aah, Zamane Ke Hath Se BaqiVo Yaadgar-E-Kamalaat -E-Ahmad-O-Mehmood
tirī yaad hai yā hai terā tasavvurkabhī 'dāġh' ko ham ne tanhā na dekhā
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar neab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
butoñ se un ko nahīñ lagāvaT misoñ kī lete nahīñ vo aahaTtamām quvvat hai sarf-e-ḳhvāñdan nazar ke bhole haiñ dil kī saade
jo mere haal kī gardish kuuñ dekheuse girdāb-e-gardāñ yaad aave
tū mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñkabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā
Lekin Meri Kutiya Ki Na Jagi Kabhi KismatBhoole Se Kabhi Tum Ne Yahan Paun Na Rakha
kaun sā tā.ir-e-gum-gashta use yaad aayādekhtā bhāltā har shāḳh ko sayyād aayā
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzishus vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
ma.anī ko bhulā detī hai sūrat hai to ye hainature bhī sabaq siikh le zīnat hai to ye hai
'valī' merā junūñ jo kui ki dekheuse koh o bayābāñ yaad aave
qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaadhaañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā
Aadmi Se Koi Bhala Na KareUss Se Pala Pare, Khuda Na Kare