tujhe to vāda-e-dīdār ham se karnā thāye kyā kiyā ki jahāñ ko umīd-vār kiyā
ḳhudā kī yaad meñ mahviyat-e-dil bādshāhī haimagar āsāñ nahīñ hai saarī duniyā ko bhulā denā
mehnat se hai azmat ki zamāne meñ nagīñ kobe-kāvish-e-sīna na kabhī nāmvarī dī
koī mahram nahīñ miltā jahāñ meñmujhe kahnā hai kuchh apnī zabāñ meñ
unhīñ ko aaj nahīñ baiThne kī jā miltīmuaaf karte the jo log kal zamīnoñ ko
gavāh kaun mire qatl kā ho mahshar meñabhī se saarā zamāna hai teġh-zan kī taraf
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñkār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar
ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.īuTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e haa.e
maiñ vo rone vaalā jahāñ se chalā huuñjise abr har saal rotā rahegā
ishq meñ lā-javāb haiñ ham logmāhtāb āftāb haiñ ham log
nahīñ rakhne dete jahāñ paañv ham kousī āstāne pe sar dekh lenā
tajrabe ne hubb-e-duniyā se sikhāyā ehtirāzpahle kahte the faqat muñh se aur ab karnā paḌā
duniyā-e-dūñ kī de na mohabbat ḳhudā 'zafar'insāñ ko pheñk de hai ye īmān o diiñ se duur
dil-e-pur-dard se kuchh kaam lūñgāagar fursat milī mujh ko jahāñ meñ
jahāñ se uTh ga.e jo log phir nahīñ miltekahāñ se DhūñD ke ab laa.eñ ham-nashīnoñ ko
kyā ḳhauf ho hameñ zan-e-duniyā ke makr kāapnī madad ko himmat-e-mardāna saath hai
aayā hai tū jahāñ meñ misāl-e-sharār dekhdam de na jaa.e hastī-e-nā-pā.edār dekh
ye parī-chehra log kaise haiñġhamza o ishva o adā kyā hai
bas ai girya āñkheñ tirī kyā nahīñ haiñkahāñ tak jahāñ ko Dubotā rahegā
garche ahl-e-sharāb haiñ ham logye na samjho ḳharāb haiñ ham log
har-chand 'dāġh' ek hī ayyār hai magardushman bhī to chhaTe hue saare jahāñ ke haiñ
shaiḳh kī majlis meñ bhī muflis kī kuchh pursish nahīñdiin kī ḳhātir se duniyā ko talab karnā paḌā
kyūñki ham duniyā meñ aa.e kuchh sabab khultā nahīñik sabab kyā bhed vaañ kā sab kā sab khultā nahīñ
bahut jī ḳhush huā 'hālī' se mil karabhī kuchh log baaqī haiñ jahāñ meñ
shahīd-e-ishq hue qais nāmvar kī tarahjahāñ meñ aib bhī ham ne kiye hunar kī tarah
qayāmat ke bakheḌe paḌ ga.e aate hī duniyā meñye maanā ham ne mar jaanā to mumkin hai magar kyā ho
duniyā-e-dūñ kī kab tak ġhulāmīyā rāhebī kar yā pādshāhī
maiñ huuñ aur afsurdagī kī aarzū 'ġhālib' ki dildekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
dil lagā ho to jī jahāñ se uThāmaut kā naam pyaar kā hai ishq
shaam se aa ga.e jo piine parsub.h tak āftāb haiñ ham log